chyunTiyan
surma.ī raat meñ
apne ḳhvāboñ ko dīvār par maar kar
pahle toḌā
phir us kī sabhī kirchiyāñ
apne dāman meñ bhar ke
samundar kī maujoñ meñ Daal aa.e ham
thoḌī halchal huī
dā.ere dā.ere se bikharne lage
naqsh chhoḌe binā
ḳhushbuoñ kī tarah
ḳhvāhisheñ Duub kar aise martīñ rahīñ
jaise martī haiñ pairoñ tale chyūñTiyāñ
surmai raat mein
apne KHwabon ko diwar par mar kar
pahle toDa
phir us ki sabhi kirchiyan
apne daman mein bhar ke
samundar ki maujon mein Dal aae hum
thoDi halchal hui
daere daere se bikharne lage
naqsh chhoDe bina
KHushbuon ki tarah
KHwahishen Dub kar aise martin rahin
jaise marti hain pairon tale chyunTiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.