cigarette aur pan ka mukalima
cigarette ne ye ik paan ke biiḌe se kahā
tū hamesha se parī-rūoñ ke jhurmuT meñ rahā
kaun sī aisī haiñ ḳhidmāt tirī besh-bahā
ḳhūñ-bahā kyuuñ lab-o-dandān-e-hasīnāñ se liyā
tujh meñ kyā la.al lage haiñ ki tū itrātā hai
be-hijābāna har ik bazm meñ aa jaatā hai
cigarette se jo sune paan ne ye talḳh suḳhan
bolā ḳhāmosh ki achchhā nahīñ hāsid kā chalan
jalte rahne se dhuāñ ban ke miTā terā badan
tū lagā muñh ko to ġhā.eb huī ḳhushbū-e-dahan
kāġhzī pairahan aur us pe tū fariyādī hai
ḳhud-ba-ḳhud ġhussa meñ jal jaane kā tū aadī hai
is pe cigarette ne kahā paan se ye kyā hai sitam
chhāñv meñ paltā hai aur tū hai baḌā sabz qadam
katthe, chūne pe, Dalī par tirā qaa.em hai bharam
tujh pe chāñdī ke varaq lipTeñ to kyā hai tujhe ġham
ḳhās-dānoñ ke muhāfoñ meñ safar kartā hai
raat din māh-jabīnoñ meñ basar kartā hai
paan bolā ki jalātā hai tū kyuuñ qalb-o-jigar
eshiyā.ī maiñ huuñ, maġhrib kā hai tū saudāgar
kaash tū apne garebān meñ muñh Daale agar
tū vo be-bas hai ki māchis kā jo ho dast-e-nigar
aag barsāne meñ saarī tirī ra.anā.ī hai
aur ye chiñgārī bhī bāhar se kahīñ paa.ī hai
bolā cigarette ki bashar shikva-kunāñ haiñ tere
dar-o-dīvār pe paīkoñ ke nishāñ haiñ tere
jo lipstick meñ haiñ vo jalve kahāñ haiñ tere
ḳhud to halkā hai pa nuqsān girāñ haiñ tere
na ġhizā meñ na davā meñ hai to phir kaun hai tū
tū halākū hai ki taimūr ki fir.aun hai tū
paan kahne lagā cigarette se ki iblīs-e-laīñ
terī tambākū se jaatī hai badan meñ nicotine
tujh se paidā hue amrāz nihāyat sañgīn
be-tamīz itnā ki mahfil meñ jalā.e qālīn
raakh se terī bharī dekhte haiñ ashtray
koī girne ko to gir jaa.e par itnā na gire
jal ke ḳhud sab ko jilā denā tirā pesha hai
chhup ke baiThī hai ajal jis meñ tū vo besha hai
jaan le apne hī āshiq kī jo vo tesha hai
tere piine se to sartān kā andesha hai
jo tujhe muñh se lagā.eñge lahū thūkeñge
aur bhī chīzoñ ke kash lene se kab chūkeñge
sulh in donoñ kī āḳhir meñ karā.ī maiñ ne
paan meñ Daal ke tambākū bhī khaa.ī maiñ ne
lab se cigarette ke jo chiñgārī uḌaa.ī maiñ ne
sher aur fikr kī sham.a us se jalā.ī maiñ ne
paan se maiñ ne kahā shaan tirī baalā hai
tū hai nausha to ye cigarette tirā shahbālā hai
cigarette ne ye ek pan ke biDe se kaha
tu hamesha se pari-ruon ke jhurmuT mein raha
kaun si aisi hain KHidmat teri besh-baha
KHun-baha kyun lab-o-dandan-e-hasinan se liya
tujh mein kya lal lage hain ki tu itraata hai
be-hijabana har ek bazm mein aa jata hai
cigarette se jo sune pan ne ye talKH suKHan
bola KHamosh ki achchha nahin hasid ka chalan
jalte rahne se dhuan ban ke miTa tera badan
tu laga munh ko to ghaeb hui KHushbu-e-dahan
kaghzi pairahan aur us pe tu fariyaadi hai
KHud-ba-KHud ghussa mein jal jaane ka tu aadi hai
is pe cigarette ne kaha pan se ye kya hai sitam
chhanw mein palta hai aur tu hai baDa sabz qadam
katthe, chune pe, Dali par tera qaem hai bharam
tujh pe chandi ke waraq lipTen to kya hai tujhe gham
KHas-danon ke muhafon mein safar karta hai
raat din mah-jabinon mein basar karta hai
pan bola ki jalata hai tu kyun qalb-o-jigar
eshiyai main hun, maghrib ka hai tu saudagar
kash tu apne gareban mein munh Dale agar
tu wo be-bas hai ki machis ka jo ho dast-e-nigar
aag barsane mein sari teri ranai hai
aur ye chingari bhi bahar se kahin pai hai
bola cigarette ki bashar shikwa-kunan hain tere
dar-o-diwar pe paikon ke nishan hain tere
jo lipstick mein hain wo jalwe kahan hain tere
KHud to halka hai pa nuqsan giran hain tere
na ghiza mein na dawa mein hai to phir kaun hai tu
tu halaku hai ki taimur ki firaun hai tu
pan kahne laga cigarette se ki iblis-e-lain
teri tambaku se jati hai badan mein nicotine
tujh se paida hue amraaz nihayat sangin
be-tamiz itna ki mahfil mein jalae qalin
rakh se teri bhari dekhte hain ashtray
koi girne ko to gir jae par itna na gire
jal ke KHud sab ko jila dena tera pesha hai
chhup ke baiThi hai ajal jis mein tu wo besha hai
jaan le apne hi aashiq ki jo wo tesha hai
tere pine se to sartan ka andesha hai
jo tujhe munh se lagaenge lahu thukenge
aur bhi chizon ke kash lene se kab chukenge
sulh in donon ki aaKHir mein karai main ne
pan mein Dal ke tambaku bhi khai main ne
lab se cigarette ke jo chingari uDai main ne
sher aur fikr ki shama us se jalai main ne
pan se main ne kaha shan teri baala hai
tu hai nausha to ye cigarette tera shahbaala hai
- Book : Teer-e-Neem Kash (Pg. 80)
- Author : Sayed Mohammad Jafri
- Publication : Sang-e-Meel Publications, Lahore (P.k.) (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.