kartab kā bas shauq huā thā
mere bas kā kaam nahīñ hai kab sochā thā
bin soche samjhe maiñ yūñhī chal niklā thā
chalte chalte mujh ko ye ehsās nahīñ thā
chalnā yuuñ dushvār bhī ho saktā hai ik din
ḳhauf koī talvār bhī ho saktā hai ik din
mere paañv kisī lamhe shal ho sakte haiñ
aaj nahīñ hoñge shāyad
kal ho sakte haiñ
kab tak apnī saañs kī tarah maiñ laTkūñgā
apne andar kī tārīkī meñ bhaTkūñgā
dil hai ek sire par
jaañ hai ek sire par
na hai ek kināre haañ hai ek sire par
kab tak kartab aur chalegā kab maiñ nīche ā.ūñgā
yā maiñ yūñhī laTke laTke
saañs ko roke mar jā.ūñgā
merā mālik loud-speaker muñh meñ liye chillātā hai
girnā nahīñ hai girnā nahīñ hai
mujh ko yaad dilātā hai
mere pair jo pahle shal the
ḳhauf ne patthar kar Daale haiñ
merī aañkh se ḳhuuñ ristā hai
aur sāñsoñ meñ chhāle haiñ
nīche siiTī mārte logoñ se taalī bajvānī hai
āñkheñ bhī band rakhnī haiñ gir apnī jaan bachānī hai
ek sire par maiñ huuñ duujā duur dikhā.ī detā hai
mere paañv tale sho.aloñ kā
shor sunā.ī detā hai
nīche girā to ain yaqīñ hai
dahkī aag meñ jalnā hogā
ḳhauf meñ gum huuñ jaane kab se soch rahā huuñ
machhlī kī us Dor pe āḳhir
kab tak mujh ko chalnā hogā
kartab ka bas shauq hua tha
mere bas ka kaam nahin hai kab socha tha
bin soche samjhe main yunhi chal nikla tha
chalte chalte mujh ko ye ehsas nahin tha
chalna yun dushwar bhi ho sakta hai ek din
KHauf koi talwar bhi ho sakta hai ek din
mere panw kisi lamhe shal ho sakte hain
aaj nahin honge shayad
kal ho sakte hain
kab tak apni sans ki tarah main laTkunga
apne andar ki tariki mein bhaTkunga
dil hai ek sire par
jaan hai ek sire par
na hai ek kinare han hai ek sire par
kab tak kartab aur chalega kab main niche aaunga
ya main yunhi laTke laTke
sans ko roke mar jaunga
mera malik loud-speaker munh mein liye chillata hai
girna nahin hai girna nahin hai
mujh ko yaad dilata hai
mere pair jo pahle shal the
KHauf ne patthar kar Dale hain
meri aankh se KHun rista hai
aur sanson mein chhaale hain
niche siTi marte logon se tali bajwani hai
aankhen bhi band rakhni hain gir apni jaan bachani hai
ek sire par main hun duja dur dikhai deta hai
mere panw tale shoalon ka
shor sunai deta hai
niche gira to ain yaqin hai
dahki aag mein jalna hoga
KHauf mein gum hun jaane kab se soch raha hun
machhli ki us Dor pe aaKHir
kab tak mujh ko chalna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.