circus
shahr meñ circus aayā hai
khel tamāshe laayā hai
hāthī uuñT aur ghoḌe haiñ
sab hī yuuñ to bhagoḌe haiñ
sab ko pakaḌ kar laayā hai
shahr meñ circus aayā hai
uḌtī uchhaltī kaar bhī hai
kheloñ kī bhar-mār bhī hai
saare khilāḌī aur joker
taar pe chalte haiñ sarsar
shahr umaD kar aayā hai
shahr meñ circus aayā hai
sher bhī hai aur bakrī bhī
kuttoñ kī ik Tolī bhī
ek baḌā sā bhālū hai
kuchh us ke ham-jolī bhī
bhān-matī kā kumba hai
jo circus ne joḌā hai
hāthī pūjā-pāTh kare
bandar bandar-bāñT kare
bhālū naach dikhātā hai
totā top chillātā hai
sabhī dikhāte haiñ kartab
joker ab girā yā tab
sab ke man ko bhāyā hai
shahr meñ circus aayā hai
shahr mein circus aaya hai
khel tamashe laya hai
hathi unT aur ghoDe hain
sab hi yun to bhagoDe hain
sab ko pakaD kar laya hai
shahr mein circus aaya hai
uDti uchhalti kar bhi hai
khelon ki bhar-mar bhi hai
sare khilaDi aur joker
tar pe chalte hain sarsar
shahr umaD kar aaya hai
shahr mein circus aaya hai
sher bhi hai aur bakri bhi
kutton ki ek Toli bhi
ek baDa sa bhaalu hai
kuchh us ke ham-joli bhi
bhan-mati ka kumba hai
jo circus ne joDa hai
hathi puja-paTh kare
bandar bandar-banT kare
bhaalu nach dikhata hai
tota top chillata hai
sabhi dikhate hain kartab
joker ab gira ya tab
sab ke man ko bhaya hai
shahr mein circus aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.