clerk
ḳhāliq ne jab azal maiñ banāyā clerk ko
lauh o qalam kā jalva dikhāyā clerk ko
kursī pe phir uThāyā biThāyā clerk ko
afsar ke saath pin se lagāyā clerk ko
miTī gad.he kī Daal kar us kī sarisht meñ
dāḳhil mashaqqatoñ ko kiyā sarnavisht meñ
chaprāsī saath ḳhuld meñ jab le gayā use
hūroñ ne kuchh mazāq kiye kuchh malak hañse
hātif kī daf.atan ye sadā aa.ī ġhaib se
''dekho ise jo dīda-e-ibrat-nigāh hai''
aadam kā rough-draft hai kab tak hañsoge tum
approve ho kar aayā to sajda karoge tum
jannat meñ fileñ haiñ na hai koī Diary
hūreñ to jāntī haiñ faqat tarz-e-dilbarī
ġhilmāñ se kuchh kaho to sunā.e kharī kharī
ye intizām hai ye discipline hai daftarī
maiñ sochtā huuñ kyā karūñ aisī bahisht ko
''TeḌhā lagā hai qat qalam-e-sarnavisht ko''
ḳhuld-e-barīñ ko naaz thā apne makīn par
aur ye bhī the miTe hue ik hūr-e-īn par
lālach kī mohr kanda thī dil ke nagīn par
T-A vasūl karne ko utrā zamīn par
iblīs rāste meñ milā kuchh sikhā diyā
utrā falak se third meñ inter likhā diyā
rakkhā qadam clerk ne jis dam zamīn par
dekhā har ek chiiz hai qudrat ke diin par
bolā ki maiñ to zinda rahūñgā routine par
mujh par machine hogī maiñ hūñgā machine par
is āhanī sanam kī ibādat hai mujh pe farz
naukar huuñ bādshāh kā jiitā huuñ le ke qarz
ai secretariat kī imārat zarā batā
us vaqt jabki jaate haiñ afsar bhī baukhlā
hotā hai kaun kashtī-e-file kā nāḳhudā
afsar nahīñ haiñ is kī haqīqat se āshnā
par ham ye jānte haiñ ki insān haiñ clerk
dariyā-e-red-tape kā tūfān haiñ clerk
KHaliq ne jab azal main banaya clerk ko
lauh o qalam ka jalwa dikhaya clerk ko
kursi pe phir uThaya biThaya clerk ko
afsar ke sath pin se lagaya clerk ko
miTi gadhe ki Dal kar us ki sarisht mein
daKHil mashaqqaton ko kiya sarnawisht mein
chaprasi sath KHuld mein jab le gaya use
huron ne kuchh mazaq kiye kuchh malak hanse
hatif ki dafatan ye sada aai ghaib se
dekho ise jo dida-e-ibrat-nigah hai
aadam ka rough-draft hai kab tak hansoge tum
approwe ho kar aaya to sajda karoge tum
jannat mein filen hain na hai koi Diary
huren to jaanti hain faqat tarz-e-dilbari
ghilman se kuchh kaho to sunae khari khari
ye intizam hai ye discipline hai daftari
main sochta hun kya karun aisi bahisht ko
TeDha laga hai qat qalam-e-sarnawisht ko
KHuld-e-barin ko naz tha apne makin par
aur ye bhi the miTe hue ek hur-e-in par
lalach ki mohr kanda thi dil ke nagin par
T-A wasul karne ko utra zamin par
iblis raste mein mila kuchh sikha diya
utra falak se third mein inter likha diya
rakkha qadam clerk ne jis dam zamin par
dekha har ek chiz hai qudrat ke din par
bola ki main to zinda rahunga routine par
mujh par machine hogi main hunga machine par
is aahani sanam ki ibaadat hai mujh pe farz
naukar hun baadshah ka jita hun le ke qarz
ai secretariat ki imarat zara bata
us waqt jabki jate hain afsar bhi baukhla
hota hai kaun kashti-e-file ka naKHuda
afsar nahin hain is ki haqiqat se aashna
par hum ye jaante hain ki insan hain clerk
dariya-e-red-tape ka tufan hain clerk
- Book : Shokhi-e-Tahrir (Pg. 38)
- Author : Sayed Mohammad Jafri
- Publication : Malik Norani, Maktaba Daniyal Viktoria Chaimber, 20, Abdullah Haroon Road, Sadar Krachi (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.