confession
bas itnī rūdād hai merī
ishq meñ ḳhāna-ḳharāb huā maiñ
un kī āñkhoñ kā thā ishāra
vaqf-e-jām-o-sharāb huā maiñ
zulmat-e-shām-e-alam kam karne
apne hī ghar meñ aag lagā dī
maiñ ne kufr-e-junūñ ke hāthoñ
mamlakt-e-kaunain gañvā dī
dard-e-vafā ko shohrat de dī
mahfil mahfil ġhazal sunā kar
zaḳhmoñ ke gul-daste beche
galī galī āvāz lagā kar
des des phailā.ī kahānī
apnī vafā kī un kī jafā kī
dhajjī dhajjī rusvā kar dī
apne garebāñ un kī qabā kī
dil ke lahū se kitne aañsū
chamkā chamkā kar chhalkā.e
reza reza kāñch ke sapne
liye phirā palkoñ pe uThā.e
kabhī to ḳhud royā mahfil meñ
kabhī unheñ ḳhalvat meñ rulāyā
un kī ik ik yaad ko samjhā
ruuh o dil o jaañ kā sarmāya
un se jo ġham milā us ġham ko
ik sauġhāt-e-vafā Thahrāyā
duniyā kī ik ik uljhan ko
un kī zulfoñ se uljhāyā
un kī qāmat kā afsāna
daar talak maiñ ne pahuñchāyā
un ke liye sau jaan se maiñ ne
maut ko apne gale lagāyā
har ik sar ko un kā saudā
har ik shauq ko vahshat de dī
har ik dil ko un kī tamannā
har siine ko hasrat de dī
bas itnī rūdād hai merī
ishq meñ ḳhāna-ḳharāb huā maiñ
kisī shahr meñ kisī hajar meñ
farsh-e-zamīñ par arsh-e-barīñ par
kisī sitāre kisī qamar meñ
ālam-e-arz-o-samā meñ kahīñ par
kaash koī vo hastī hotī
jis ko ye rūdād sunātā
bojh gunāhoñ kā hai dil par
aaj kī shab halkā ho jaatā
us se kaash ye kah saktā maiñ
ālam-e-kul tujh se kyā pardā
kizb-e-mukammal hai ye kahānī
ye saarā afsāna jhūTā
maiñ ne ḳhud hī tarāshā ye but
aur us but ko ḳhudā.ī de dī
mujh ko bhī is par sach kā gumāñ hai
jhuuT ko vo ra.anā.ī de dī
ā.ina-ḳhānoñ meñ rañgoñ ke
apnī hī sūrat ko sarāhā
apnī hī taḳhlīq ko puujā
apnī hī talbīs ko chāhā
dil ke mahram ruuh ke shāhid!
jhuuT aur sach pahchānñe vaale
maiñ ne unheñ dekhā bhī nahīñ hai
merī haqīqat jānñe vāle!
mere ḳhair-o-shar ke muhāsib
tujh par to sab kuchh raushan hai
merī sazā jazā ke mālik
merā jurm ye merā fan hai
apnī tamannā kā mulzim huuñ!
maiñ in ḳhvāboñ kā mujrim huuñ!
bas itni rudad hai meri
ishq mein KHana-KHarab hua main
un ki aankhon ka tha ishaara
waqf-e-jam-o-sharab hua main
zulmat-e-sham-e-alam kam karne
apne hi ghar mein aag laga di
main ne kufr-e-junun ke hathon
mamlakt-e-kaunain ganwa di
dard-e-wafa ko shohrat de di
mahfil mahfil ghazal suna kar
zaKHmon ke gul-daste beche
gali gali aawaz laga kar
des des phailai kahani
apni wafa ki un ki jafa ki
dhajji dhajji ruswa kar di
apne gareban un ki qaba ki
dil ke lahu se kitne aansu
chamka chamka kar chhalkae
reza reza kanch ke sapne
liye phira palkon pe uThae
kabhi to KHud roya mahfil mein
kabhi unhen KHalwat mein rulaya
un ki ek ek yaad ko samjha
ruh o dil o jaan ka sarmaya
un se jo gham mila us gham ko
ek saughat-e-wafa Thahraya
duniya ki ek ek uljhan ko
un ki zulfon se uljhaya
un ki qamat ka afsana
dar talak main ne pahunchaya
un ke liye sau jaan se main ne
maut ko apne gale lagaya
har ek sar ko un ka sauda
har ek shauq ko wahshat de di
har ek dil ko un ki tamanna
har sine ko hasrat de di
bas itni rudad hai meri
ishq mein KHana-KHarab hua main
kisi shahr mein kisi hajar mein
farsh-e-zamin par arsh-e-barin par
kisi sitare kisi qamar mein
aalam-e-arz-o-sama mein kahin par
kash koi wo hasti hoti
jis ko ye rudad sunata
bojh gunahon ka hai dil par
aaj ki shab halka ho jata
us se kash ye kah sakta main
aalam-e-kul tujh se kya parda
kizb-e-mukammal hai ye kahani
ye sara afsana jhuTa
main ne KHud hi tarasha ye but
aur us but ko KHudai de di
mujh ko bhi is par sach ka guman hai
jhuT ko wo ranai de di
aaina-KHanon mein rangon ke
apni hi surat ko saraha
apni hi taKHliq ko puja
apni hi talbis ko chaha
dil ke mahram ruh ke shahid!
jhuT aur sach pahchanne wale
main ne unhen dekha bhi nahin hai
meri haqiqat jaanne wale!
mere KHair-o-shar ke muhasib
tujh par to sab kuchh raushan hai
meri saza jaza ke malik
mera jurm ye mera fan hai
apni tamanna ka mulzim hun!
main in KHwabon ka mujrim hun!
- Book : aaina dar aaina (Pg. 99)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.