copyright
Interesting Fact
Monday 03 January 2011
kyā rūmānī lamha thā
sho.arā par ye shart lagī thī
chhat par puurā chāñd dekh kar
sab ko nazm sunānī hogī
puure chāñd ko takte takte
maiñ ne bhī ik nazm sunā.ī
mere liye vo nazm nahīñ thī
bel koī añgūr kī thī
jis ne merā ḳhuun piyā thā
chāñd ne lekin sher sune to
vo behad mas.hūr huā thā
aisā lagā ki us ke tan se
chhalbal uḌtī
dhuul sunahrī
sunñe vāloñ kī palkoñ par aa baiThī ho
logoñ ne yuuñ daad mujhe dī
goyā chāñd ke copyright mere huuñ
maiñ ne apnī nazm sunā.ī urdu meñ
kyā rūmānī lamha thā
kya rumani lamha tha
shoara par ye shart lagi thi
chhat par pura chand dekh kar
sab ko nazm sunani hogi
pure chand ko takte takte
main ne bhi ek nazm sunai
mere liye wo nazm nahin thi
bel koi angur ki thi
jis ne mera KHun piya tha
chand ne lekin sher sune to
wo behad mashur hua tha
aisa laga ki us ke tan se
chhalbal uDti
dhul sunahri
sunne walon ki palkon par aa baiThi ho
logon ne yun dad mujhe di
goya chand ke copyright mere hun
main ne apni nazm sunai urdu mein
kya rumani lamha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.