corona wirus ke baad
vo jo har roz apnī khiḌkī se
dekhtā hai ki duur se koī
rāh-rau aa.e aur vo us ko
ghar meñ mad.ū kare mohabbat se
baiTh kar guftugū kare us ko
is haqīqat kā koī ilm nahīñ?
shahr kī maut ho chukī aur vo
apnī khiḌkī se jhāñkne vaalā
ik akelā hai saarī duniyā meñ
nasl kā āḳhirī numā.inda
wo jo har roz apni khiDki se
dekhta hai ki dur se koi
rah-rau aae aur wo us ko
ghar mein madu kare mohabbat se
baiTh kar guftugu kare us ko
is haqiqat ka koi ilm nahin?
shahr ki maut ho chuki aur wo
apni khiDki se jhankne wala
ek akela hai sari duniya mein
nasl ka aaKHiri numainda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.