culture
bhīgtī palkoñ ke sau kamroñ meñ laTkī
āñsūoñ se tar tasvīr
ghaas meñ apne ḳhāl-o-ḳhat kī kālak muñh pe liipe
pāñch dariyāoñ meñ zer-e-kāsht
raat ke tanhā shajar pe fāḳhta
yā pāñch harf
jo havā kī taḳhtiyoñ par an-ginat chehroñ meñ Dhalte
chā.valoñ ke biij haiñ
bālisht bhar yā us se ūñchī fasl mausam kī tarah phailī huī
us se pare
shahar maile rañg meñ gūñdhā huā canvas
qadd-e-āmdam paañv ke mauzūñ meñ bastī bastiyāñ
jin kī zabānoñ narḳhuroñ āñtoñ pe kaa.ī kī silā.ī
haath meñ miTTī ke phuul
abr kī chhatrī ke nīche
bhuuk kī bāDoñ meñ laTkī
dhajjiyāñ
andām kī
badan taaza panīrī kī tarah ujle
kahīñ hūTar kī rānoñ meñ masalte
tauliye se jism
aur shahtūt se bachpan
koī to badduā kalima bane
dil hajla-jāñ meñ sitam kī chaar gaz Dorī se lipTā
charḳh-chūñ phirtā hai
bhigti palkon ke sau kamron mein laTki
aansuon se tar taswir
ghas mein apne KHal-o-KHat ki kalak munh pe lipe
panch dariyaon mein zer-e-kasht
raat ke tanha shajar pe faKHta
ya panch harf
jo hawa ki taKHtiyon par an-ginat chehron mein Dhalte
chawalon ke bij hain
baalisht bhar ya us se unchi fasl mausam ki tarah phaili hui
us se pare
shahar maile rang mein gundha hua canwas
qadd-e-amdam panw ke mauzun mein basti bastiyan
jin ki zabanon narKHuron aanton pe kai ki silai
hath mein miTTi ke phul
abr ki chhatri ke niche
bhuk ki baDon mein laTki
dhajjiyan
andam ki
badan taza paniri ki tarah ujle
kahin huTar ki ranon mein masalte
tauliye se jism
aur shahtut se bachpan
koi to baddua kalima bane
dil hajla-jaan mein sitam ki chaar gaz Dori se lipTa
charKH-chun phirta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.