cups
chaa.e kā ek sip
lagāte hī
us ke hoñToñ kī
yaad taaza huī
cupboard meñ rakhe
salīqe se chaa.e ke
cups jin pe
us ne apne
hoñToñ ke lams
ye kah kar chhoḌe the
ki suno jānāñ
unheñ tum jab bhī
apne ḳhūb-sūrat
hoñToñ se lagāoge
mujhe apnī sāñsoñ
meñ pāoge
chae ka ek sip
lagate hi
us ke honTon ki
yaad taza hui
cupboard mein rakhe
saliqe se chae ke
cups jin pe
us ne apne
honTon ke lams
ye kah kar chhoDe the
ki suno jaanan
unhen tum jab bhi
apne KHub-surat
honTon se lagaoge
mujhe apni sanson
mein paoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.