curfew mein mushaera
Interesting Fact
(During the curfew order in Karachi, the poets arrived at a mushaira. What happened to these poets is described in this poem.)
kyā jaane us zarīf ke kyā dil meñ aa.ī thī
curfew meñ jis ne mahfil-e-sherī sajā.ī thī
allāh aisā zauq jahannam meñ Daal de
curfew meñ shā.iroñ ko jo ghar se nikāl de
aise meñ jab ki shahr ke sab rāste hoñ band
saḌkoñ pe aa ga.e the ye bā-zauq shar-pasand
aise meñ jab ki ghar se nikalnā muhāl thā
lekin ye shā.iroñ kī anā kā savāl thā
sherī-mahāz ḳhāna-e-shā.er se duur thā
ka.aba meñ hājiyoñ ko pahuñchnā zarūr thā
shā.ir ravāñ the sher ke chāqū liye hue
dil meñ ḳhayāl-e-ḳhidmat-e-urdu liye hue
zor-e-qalam ke saath sipāh-e-riyāz thī
qānūn haath meñ thā baġhal meñ bayāz thī
galiyoñ meñ qatl-o-ḳhūñ thā saḌak par fasād thā
shā.ir ba-zor-e-fikr sharīk-e-jihād thā
kaisī nikal rahī thī sadā gun-machine se
jaise kisī ko daad mile sāma.īn se
shā.ir bayāz laa.e the sandūq kī tarah
misre ugal rahe the vo bandūq kī tarah
jab firing ahl-e-suḳhan kī huī tamām
ye ḳhidmat-e-adab kā police ne sila diyā
kuchh shā.iroñ ko road pe murġhā banā diyā
kuchh kohna-mashq bhī the sujūd-o-rukū meñ
jabran unheñ paḌhāyā gayā thā shurūa meñ
tarhī mushā.ere kā samāñ de rahe the vo
ik misra-e-tarah pe azaañ de rahe the vo
kuchh shā.iroñ ko naġhma-sarā.ī kī fikr thī
sadr-e-mushā.ira ko rihā.ī kī fikr thī
jab shā.iroñ ke haath sharīk-e-duā hue
curfew kā vaqt ḳhatm huā tab rihā hue
sab apne apne ghar ga.e is hāv-hū ke ba.ad
shā.ir-azīm hotā hai har curfew ke ba.ad
kya jaane us zarif ke kya dil mein aai thi
curfew mein jis ne mahfil-e-sheri sajai thi
allah aisa zauq jahannam mein Dal de
curfew mein shairon ko jo ghar se nikal de
aise mein jab ki shahr ke sab raste hon band
saDkon pe aa gae the ye ba-zauq shar-pasand
aise mein jab ki ghar se nikalna muhaal tha
lekin ye shairon ki ana ka sawal tha
sheri-mahaz KHana-e-shaer se dur tha
kaba mein hajiyon ko pahunchna zarur tha
shair rawan the sher ke chaqu liye hue
dil mein KHayal-e-KHidmat-e-urdu liye hue
zor-e-qalam ke sath sipah-e-riyaz thi
qanun hath mein tha baghal mein bayaz thi
galiyon mein qatl-o-KHun tha saDak par fasad tha
shair ba-zor-e-fikr sharik-e-jihad tha
kaisi nikal rahi thi sada gun-machine se
jaise kisi ko dad mile samain se
shair bayaz lae the sanduq ki tarah
misre ugal rahe the wo banduq ki tarah
jab firing ahl-e-suKHan ki hui tamam
ye KHidmat-e-adab ka police ne sila diya
kuchh shairon ko road pe murgha bana diya
kuchh kohna-mashq bhi the sujud-o-ruku mein
jabran unhen paDhaya gaya tha shurua mein
tarhi mushaere ka saman de rahe the wo
ek misra-e-tarah pe azan de rahe the wo
kuchh shairon ko naghma-sarai ki fikr thi
sadr-e-mushaira ko rihai ki fikr thi
jab shairon ke hath sharik-e-dua hue
curfew ka waqt KHatm hua tab riha hue
sab apne apne ghar gae is haw-hu ke baad
shair-azim hota hai har curfew ke baad
- Book : No Problem (Pg. 129)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.