dad-gar
maiñ jāntā huuñ ki aañsū fanā kā lamha hai
use tirī nigah-e-jāvedāñ se rabt nahīñ
maiñ jāntā huuñ ki tū bhī shikār-e-daurāñ hai
matā-e-jāñ ke sivā is qimār-ḳhāne meñ
har ek naqd-e-nafs haar kar pashīmāñ hai
magar ye rabt hai kaisā ye kyā ta.alluq hai
ki jab bhī haar ke uTThā jahāñ kī mahfil se
umañg hañs ke kaleje pe choT khāne kī
hujūm-e-dushna-o-ḳhanjar meñ muskurāne kī
umañg daao pe jān-e-hazīñ lagāne kī
na jaane kyuuñ mire dil meñ ḳhayāl aayā hai
ki jā ke tujh se shikāyat karūñ zamāne kī
main jaanta hun ki aansu fana ka lamha hai
use teri nigah-e-jawedan se rabt nahin
main jaanta hun ki tu bhi shikar-e-dauran hai
mata-e-jaan ke siwa is qimar-KHane mein
har ek naqd-e-nafs haar kar pashiman hai
magar ye rabt hai kaisa ye kya talluq hai
ki jab bhi haar ke uTTha jahan ki mahfil se
umang hans ke kaleje pe choT khane ki
hujum-e-dushna-o-KHanjar mein muskurane ki
umang dao pe jaan-e-hazin lagane ki
na jaane kyun mere dil mein KHayal aaya hai
ki ja ke tujh se shikayat karun zamane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.