dadi amman
daadī ammāñ hameñ sunāo ab ik na.ī kahānī
jis meñ zālim raaja na ho na hī zālim raanī
jis meñ bhuut pret dev aur jinnātoñ kī baat na ho
jis meñ shahzādī kī ḳhātir shahzāde kī maat na ho
jis meñ koī lobhī luTerā saat samundar se na aa.e
jis meñ sone kī chiḌiyā ke pañkhoñ ko nochā na jaa.e
aaj ke yug meñ in qissoñ kī baat huī purānī
daadī ammāñ hameñ sunāo ab ik na.ī kahānī
na.ī kahānī jis meñ dahqāñ jhuum rahe hoñ khetoñ meñ
na.ī kahānī jis meñ koyal magan ho sukh ke gītoñ meñ
na.ī kahānī jis meñ dhartī ugal rahī ho sonā
amn-o-mohabbat ke gītoñ se guuñj rahā ho har konā
na.ī kahānī jis meñ ham chandā maamā tak jaa.eñ
aur chandā-nagrī se jhūlā jhuul ke vāpas aa.eñ
na.ī kahānī kitnī sundar kitnī bhalī suhānī
daadī ammāñ hameñ sunāo ab ik na.ī kahānī
dadi amman hamein sunao ab ek nai kahani
jis mein zalim raja na ho na hi zalim rani
jis mein bhut pret dew aur jinnaton ki baat na ho
jis mein shahzadi ki KHatir shahzade ki mat na ho
jis mein koi lobhi luTera sat samundar se na aae
jis mein sone ki chiDiya ke pankhon ko nocha na jae
aaj ke yug mein in qisson ki baat hui purani
dadi amman hamein sunao ab ek nai kahani
nai kahani jis mein dahqan jhum rahe hon kheton mein
nai kahani jis mein koyal magan ho sukh ke giton mein
nai kahani jis mein dharti ugal rahi ho sona
amn-o-mohabbat ke giton se gunj raha ho har kona
nai kahani jis mein hum chanda mama tak jaen
aur chanda-nagri se jhula jhul ke wapas aaen
nai kahani kitni sundar kitni bhali suhani
dadi amman hamein sunao ab ek nai kahani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.