dadi amman ka neamat-KHana
daadī kā thā daulat-ḳhāna
ghar kyā thā ik jannat-ḳhāna
bachpan merā guzrā is meñ
be-shak thā vo shafqat-ḳhāna
bāvarchī-ḳhāne meñ is ke
lakḌī kā thā ne.amat-ḳhāna
ḳhāne is meñ itne saare
samjho jaise hairat-ḳhāna
khāne piine kī chīzoñ kā
lagtā thā vo barakat-ḳhāna
shīrīnī bhī namkīnī bhī
har ḳhāna thā lazzat-ḳhāna
duudh is meñ aur lassī us meñ
aur is meñ ik sharbat-ḳhāna
phal aur sabzī kī ḳhushbū se
har dam jaise nik.hat-ḳhāna
yaad aate haiñ din bachpan ke
aur daadī kā ne.amat-Hāna
dadi ka tha daulat-KHana
ghar kya tha ek jannat-KHana
bachpan mera guzra is mein
be-shak tha wo shafqat-KHana
bawarchi-KHane mein is ke
lakDi ka tha neamat-KHana
KHane is mein itne sare
samjho jaise hairat-KHana
khane pine ki chizon ka
lagta tha wo barakat-KHana
shirini bhi namkini bhi
har KHana tha lazzat-KHana
dudh is mein aur lassi us mein
aur is mein ek sharbat-KHana
phal aur sabzi ki KHushbu se
har dam jaise nikhat-KHana
yaad aate hain din bachpan ke
aur dadi ka neamat-Hana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.