daera
zard patte par
nasoñ kā jamghaT hai
jo niilī haiñ
jo gahrī haiñ
añdhere meñ ujāle kī amiiñ bhī haiñ
azal se ban rahī haiñ
miT rahī haiñ ye
yahī vo zindagī kī chaar samteñ haiñ
jinheñ abjad meñ likkhā hai
naseñ jo rahnumā bhī haiñ
naseñ jo kahkashāñ bhī haiñ
naseñ jo naddiyāñ bhī haiñ
ye aisā kashmakash kā dā.era
dā.era-dar-dā.era
qahqaha-dar-qahqaha
zard patte par
nason ka jamghaT hai
jo nili hain
jo gahri hain
andhere mein ujale ki amin bhi hain
azal se ban rahi hain
miT rahi hain ye
yahi wo zindagi ki chaar samten hain
jinhen abjad mein likkha hai
nasen jo rahnuma bhi hain
nasen jo kahkashan bhi hain
nasen jo naddiyan bhi hain
ye aisa kashmakash ka daera
daera-dar-daera
qahqaha-dar-qahqaha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.