daere aur aasman
hamārī sab lakīreñ
dā.eroñ meñ ghūmtī haiñ
hamāre saare raste
ek hī mehvar kī jānib
lauT aate haiñ
sub.h-dam asp-e-tāza kī tarah
ghar se nikal kar
dā.eroñ meñ dauḌnā
aur din Dhale
āḳhir usī markaz pe
vāpas lauT aanā hī
hamārī zindagī hai
hameñ bas ek jānib
dekhne kā hukm sādir hai
hamārī soch bīnā.ī muqaddar
sab inhī rastoñ ke qaidī haiñ
hameñ ma.alūm hai
in dā.eroñ kī paar bhī
hamari sab lakiren
daeron mein ghumti hain
hamare sare raste
ek hi mehwar ki jaanib
lauT aate hain
subh-dam asp-e-taza ki tarah
ghar se nikal kar
daeron mein dauDna
aur din Dhale
aaKHir usi markaz pe
wapas lauT aana hi
hamari zindagi hai
hamein bas ek jaanib
dekhne ka hukm sadir hai
hamari soch binai muqaddar
sab inhi raston ke qaidi hain
hamein malum hai
in daeron ki par bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.