dagh
fasāna-e-ġham-e-dil ab nahīñ sune jaate
shab-e-firāq meñ taare nahīñ gine jaate
dil-o-jigar meñ hai ik dard kahkashāñ kī tarah
ġhalat jagah kabhī afshāñ nahīñ chune jaate
lagī hai choT musalsal kuchh is tarah dil meñ
ki ham se dāġh-e-jigar bhī nahīñ gine jaate
asar ho jis kā vahī sher sher hai 'nāshād'
har ek sher pe sar bhī nahīñ dhune jaate
fasana-e-gham-e-dil ab nahin sune jate
shab-e-firaq mein tare nahin gine jate
dil-o-jigar mein hai ek dard kahkashan ki tarah
ghalat jagah kabhi afshan nahin chune jate
lagi hai choT musalsal kuchh is tarah dil mein
ki hum se dagh-e-jigar bhi nahin gine jate
asar ho jis ka wahi sher sher hai 'nashad'
har ek sher pe sar bhi nahin dhune jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.