daKHil-Khaarij
hijrat hotī hai sab kī ek hī jaisī
manzil nahīñ miltī sab ko ek sī
saare lagāv ek sā hī dukh dete haiñ
ḳhushiyāñ dīgar hotī haiñ sab kī
jo
tum apnā ranj-o-ġham
apnī pareshānī mujhe de do
sunāte hue zindagī meñ aa.e
ve
merā kuchh sāmān
tumhāre paas paḌā hai vo lauTā do
sunāte hue chale ga.e
ek tanhā shaḳhs
jab phir se tanhā hotā hai
tab kisī shā.ir kā
ḳhārij kiyā huā
misra ho jaatā hai
hijrat hoti hai sab ki ek hi jaisi
manzil nahin milti sab ko ek si
sare lagaw ek sa hi dukh dete hain
KHushiyan digar hoti hain sab ki
jo
tum apna ranj-o-gham
apni pareshani mujhe de do
sunate hue zindagi mein aae
we
mera kuchh saman
tumhaare pas paDa hai wo lauTa do
sunate hue chale gae
ek tanha shaKHs
jab phir se tanha hota hai
tab kisi shair ka
KHarij kiya hua
misra ho jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.