daman-e-shab
raat ko ḳhāmushī kī chādar par
jab sitāre utarne lagte haiñ
shahr-e-dil ke tamām ḳhākoñ meñ
us kī chāhat kā rang bhartā huuñ
ḳhvāhishoñ kī hasīn shahzādī
mere andar utarne lagtī hai
phir sañbhāle hue maiñ dāman-e-shab
us kī palkoñ ke saa.e meñ aksar
jab sitāre ummīd ke chamkeñ
ḳhvāb kitne tarāshtā huuñ maiñ
us se milne kī aarzū le kar
us ko har-sū talāsh kartā huuñ
apne ehsās kī qabāoñ meñ
us kī chāhat ke dard bhartā huuñ
jab bhī us shahr se guzartā hoñ
raat ko KHamushi ki chadar par
jab sitare utarne lagte hain
shahr-e-dil ke tamam KHakon mein
us ki chahat ka rang bharta hun
KHwahishon ki hasin shahzadi
mere andar utarne lagti hai
phir sanbhaale hue main daman-e-shab
us ki palkon ke sae mein aksar
jab sitare ummid ke chamken
KHwab kitne tarashta hun main
us se milne ki aarzu le kar
us ko har-su talash karta hun
apne ehsas ki qabaon mein
us ki chahat ke dard bharta hun
jab bhi us shahr se guzarta hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.