dan
kis kī uThī hai ye arthī
kamlā
seTh lachhman kī paḌosan beva
seTh do ghoḌoñ kī bagghī meñ aatā hai udhar
shahr kā sab se baḌā daanī
diyā lo
dhanvān
jis ne sone kā chaḌhāyā hai kalas mandir par
jis ne gaū-shālā bhī banvā.ī thī
jis kī mil meñ abhī parsoñ hī chalī thī golī
jis ke darvāze pe mil jaatī hai bhikshā lekin
bhūkī mar jaa.e jo ik beva paḌosan mar jaa.e
peT bhartā nahīñ mazdūr kā saat aane meñ golī chal jaa.e
daan dete haiñ dayālū
dhanvān
izzat-e-nafs ke Daaku
shaitān
kapḌe kī mil ke mālik aaTe kī mil ke mālik
kis ki uThi hai ye arthi
kamla
seTh lachhman ki paDosan bewa
seTh do ghoDon ki bagghi mein aata hai udhar
shahr ka sab se baDa dani
diya lo
dhanwan
jis ne sone ka chaDhaya hai kalas mandir par
jis ne gau-shaala bhi banwai thi
jis ki mil mein abhi parson hi chali thi goli
jis ke darwaze pe mil jati hai bhiksha lekin
bhuki mar jae jo ek bewa paDosan mar jae
peT bharta nahin mazdur ka sat aane mein goli chal jae
dan dete hain dayalu
dhanwan
izzat-e-nafs ke Daku
shaitan
kapDe ki mil ke malik aaTe ki mil ke malik
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.