dar-o-rasan
ajiib kūcha-e-rashk-e-jināñ thā dehlī kā
bahisht kahte haiñ jis ko makāñ thā dehlī kā
dimāġh bar-sar-e-haft-āsmāñ thā dehlī kā
ḳhitāb-e-ḳhitta-e-hindostāñ thā dehlī kā
ġhazab hai us ko koī shādmāñ na dekh sakā
zamīñ na dekh sakī āsmāñ na dekh sakā
hazāroñ zulf-e-parī-vash ke yaañ the saudā.ī
hazāroñ mai-kash-o-mai-ḳhvār-o-mast-o-sahbā.ī
sharāb-e-aish pilātā thā charḳh-e-mīnā.ī
qubūl karte the is dar pe sab jabīñ-sā.ī
jo aatā thā so vo ho rahtā thā usī ghar kā
zamīñ kī naaf hai ka.aba hai batn-e-mādar kā
vo taḳht-e-saltanat-o-bārgāh-e-sultānī
ki jis meñ baiThte the aa ke zill-e-sub.hānī
paroñ se sar pe humā kartā thā magas-rānī
bajā us auj pe thā da.avā-e-sulaimānī
har ek qasr ko da.avā thā tāq-e-kisrā kā
dimāġh arsh pe thā qila-e-muallā kā
zuhal kī aañkh paḌī ittifāq se nāgāh
tamām ho gayā tārāj mulk-o-māl aur jaah
ki us se ho ga.e bad-tar ġharīb shāhanshāh
ra.ī.yat us kī huī us se bhī ziyāda tabāh
vo sāhūkār na thā jis kī saakh meñ baTTā
ab us ke naam pe lagtā hai laakh meñ baTTā
milā ye hukm ki sab log yaañ se Tal jaa.eñ
isī meñ ḳhair hai jo shahr se nikal jaa.eñ
dabī hai buqchī to dikhlā ke yaañ baġhal jaa.eñ
jo kuchh hai chhoḌ yahāñ sāhab-e-daval jaa.eñ
na sar pe Topī hai un ke na paañv meñ juutī
baġhal meñ tote kā piñjḌā nabī-jī bhejo jī
yahāñ jo aan kī dekhī to daar kī sūrat
vo daar kahiye jise zulfiqār kī sūrat
miTā dī chashm-e-zadan meñ hazār kī sūrat
nazar paḌī na kisī be-qarār kī sūrat
ba-rañg-e-tīr-e-shahāb aag meñ jale lākhoñ
sipurd dār-o-rasan ho ga.e gale lākhoñ
ajib kucha-e-rashk-e-jinan tha dehli ka
bahisht kahte hain jis ko makan tha dehli ka
dimagh bar-sar-e-haft-asman tha dehli ka
KHitab-e-KHitta-e-hindostan tha dehli ka
ghazab hai us ko koi shadman na dekh saka
zamin na dekh saki aasman na dekh saka
hazaron zulf-e-pari-wash ke yan the saudai
hazaron mai-kash-o-mai-KHwar-o-mast-o-sahbai
sharab-e-aish pilata tha charKH-e-minai
qubul karte the is dar pe sab jabin-sai
jo aata tha so wo ho rahta tha usi ghar ka
zamin ki naf hai kaba hai batn-e-madar ka
wo taKHt-e-saltanat-o-bargah-e-sultani
ki jis mein baiThte the aa ke zill-e-subhani
paron se sar pe huma karta tha magas-rani
baja us auj pe tha dawa-e-sulaimani
har ek qasr ko dawa tha taq-e-kisra ka
dimagh arsh pe tha qila-e-mualla ka
zuhal ki aankh paDi ittifaq se nagah
tamam ho gaya taraj mulk-o-mal aur jah
ki us se ho gae bad-tar gharib shahanshah
raiyat us ki hui us se bhi ziyaada tabah
wo sahukar na tha jis ki sakh mein baTTa
ab us ke nam pe lagta hai lakh mein baTTa
mila ye hukm ki sab log yan se Tal jaen
isi mein KHair hai jo shahr se nikal jaen
dabi hai buqchi to dikhla ke yan baghal jaen
jo kuchh hai chhoD yahan sahab-e-dawal jaen
na sar pe Topi hai un ke na panw mein juti
baghal mein tote ka pinjDa nabi-ji bhejo ji
yahan jo aan ki dekhi to dar ki surat
wo dar kahiye jise zulfiqar ki surat
miTa di chashm-e-zadan mein hazar ki surat
nazar paDi na kisi be-qarar ki surat
ba-rang-e-tir-e-shahab aag mein jale lakhon
sipurd dar-o-rasan ho gae gale lakhon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.