dashta
raat dhundlī tīrgī namnāk ghaas
Thahrī Thahrī muzmahil phūloñ kī baas
tanhā udaas
baaġh kī dil-sard ḳhāmoshī se duur
an-ginat tāroñ kā be-tartīb nuur
sāmān-e-tūr
uTh rahī hai jaise mauj-e-nīm-tāb
kahkashāñ ye bārhā dekhā sarāb
manzil kā ḳhvāb
phuul kar apnī tamannā kā ma.aal
gosha-e-dil meñ vahī zohra-jamāl
laayā ḳhayāl
jis ne vā kī mujh pe chashm-e-iltifāt
mujh ko samjhā apnī saarī kā.enāt
har talḳh raat
aaj us kī dilkashī piTtī lakīr
us kī baḌhtī tīrgī kā ham-safīr
merā zamīr
dekhtā huuñ phir nujūm-e-ḳhush-ḳhirām
jaane kab tak legā mujh se intiqām
ye husn-e-bām
raat dhundli tirgi namnak ghas
Thahri Thahri muzmahil phulon ki bas
tanha udas
bagh ki dil-sard KHamoshi se dur
an-ginat taron ka be-tartib nur
saman-e-tur
uTh rahi hai jaise mauj-e-nim-tab
kahkashan ye barha dekha sarab
manzil ka KHwab
phul kar apni tamanna ka maal
gosha-e-dil mein wahi zohra-jamal
laya KHayal
jis ne wa ki mujh pe chashm-e-iltifat
mujh ko samjha apni sari kaenat
har talKH raat
aaj us ki dilkashi piTti lakir
us ki baDhti tirgi ka ham-safir
mera zamir
dekhta hun phir nujum-e-KHush-KHiram
jaane kab tak lega mujh se intiqam
ye husn-e-baam
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 244)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.