dastan-e-dil-e-do-nim
ik hasīñ gaañv thā kanār-e-āb
kitnā shādāb thā dayār-e-āb
kyā ajab be-niyāz bastī thī
muflisī meñ bhī ek mastī thī
kitne dildār the hamāre dost
vo bichāre vo be-sahāre dost
apnā ik dā.era thā dhartī thī
zindagī chiin se guzartī thī
qissa jab yūsuf o zuleḳhā kā
mīThe mīThe suroñ meñ chhiḌtā thā
qasr shāhoñ ke hilne lagte the
chaak sīnoñ ke silne lagte the
ek hasin ganw tha kanar-e-ab
kitna shadab tha dayar-e-ab
kya ajab be-niyaz basti thi
muflisi mein bhi ek masti thi
kitne dildar the hamare dost
wo bichaare wo be-sahaare dost
apna ek daera tha dharti thi
zindagi chin se guzarti thi
qissa jab yusuf o zuleKHa ka
miThe miThe suron mein chhiDta tha
qasr shahon ke hilne lagte the
chaak sinon ke silne lagte the
- Book : kulliyat-e-habib jaalib (Pg. 239)
- Author : habib jaalib
- Publication : Tahir publishar,lahore (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.