dastan-e-gham
hamārī dāstān-e-ġham kahānī hotī jaatī hai
vahī afsurdagī phir jāvedānī hotī jaatī hai
vahī tasvīr-e-dard-o-yās hai phir zindagī merī
vahī āh-o-fuġhāñ kī mehmānī hotī jaatī hai
vahī maiñ huuñ vahī ḳhāmosh aañsū haiñ vahī aaheñ
bayāñ har saañs meñ dil kī kahānī hotī jaatī hai
yūñhī ḳhāmosh aaheñ kah rahī haiñ dāstān-e-dil
yūñhī rāz-e-nihāñ kī tarjumānī hotī jaatī hai
miTā degā nishāñ merā ye merā girya-e-paiham
ye fariyād-o-fuġhāñ merī nishānī hotī jaatī hai
hamari dastan-e-gham kahani hoti jati hai
wahi afsurdagi phir jawedani hoti jati hai
wahi taswir-e-dard-o-yas hai phir zindagi meri
wahi aah-o-fughan ki mehmani hoti jati hai
wahi main hun wahi KHamosh aansu hain wahi aahen
bayan har sans mein dil ki kahani hoti jati hai
yunhi KHamosh aahen kah rahi hain dastan-e-dil
yunhi raaz-e-nihan ki tarjumani hoti jati hai
miTa dega nishan mera ye mera girya-e-paiham
ye fariyaad-o-fughan meri nishani hoti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.