dawat-e-fikr
kis tarah ret ke samundar meñ
kashtī-e-zīst hai ravāñ socho
sun ke bād-e-sabā kī sargoshī
kyuuñ laraztī haiñ pattiyāñ socho
pattharoñ kī panāh meñ kyuuñ hai
ā.ina-sāz kī dukāñ socho
asl sar-chashma-e-vafā kyā hai
vaj.h-e-be-mehrī-e-butāñ socho
zauq-e-ta.amīr kyuuñ nahīñ miTtā
kyuuñ ujaḌtī haiñ bastiyāñ socho
fikr-e-suqrāt hai ki zahr kā ghūñT
bā.is-e-umr-e-jāvedāñ socho
log ma.anī tarāsh hī leñge
koī be-rabt dāstāñ socho
kis tarah ret ke samundar mein
kashti-e-zist hai rawan socho
sun ke baad-e-saba ki sargoshi
kyun larazti hain pattiyan socho
pattharon ki panah mein kyun hai
aaina-saz ki dukan socho
asl sar-chashma-e-wafa kya hai
wajh-e-be-mehri-e-butan socho
zauq-e-tamir kyun nahin miTta
kyun ujaDti hain bastiyan socho
fikr-e-suqraat hai ki zahr ka ghunT
bais-e-umr-e-jawedan socho
log mani tarash hi lenge
koi be-rabt dastan socho
- Book : Kulliyat-e-Shakiib Jalali (Pg. 452)
- Author : Mohd Nasir Khan
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.