dafnane mein pahle hi bahut der ho gai hai
mere sāmne tumhārā janāza rakhā hai
log kah rahe haiñ tum mar ga.e ho
kisī ne mere sar pe dupaTTa Daalā hai
safed burrāq be-dāġh
merī saarī chūḌiyāñ kisī ne kach kach kar ke toḌ dī haiñ
patā nahīñ kaun hai jo baar baar kah rahā hai
ro lo thoḌā sā ro lo dil kā bojh halkā ho jā.egā
mujhe rone ke bajā.e hañsī aa.e chalī jā rahī hai
jī chaah rahā hai ḳhuub zor zor se qahqahe lagā.ūñ
kyā rone se saare bojh halke ho jaate haiñ
mere sāmne muddatoñ se tumhārā janāza rakhā hai
aur
maiñ pahlī raat se us ke pā.eñtī baiThī huuñ
na bahne vaale āñsuoñ kā bojh uThā.e
aaj kyā anhonī huī hai
ta.affun se dimāġh phaTe jā rahā hai
are koī suntā hai
janāza uThāo dafnāne meñ pahle hī bahut der ho ga.ī hai
mere samne tumhaara janaza rakha hai
log kah rahe hain tum mar gae ho
kisi ne mere sar pe dupaTTa Dala hai
safed burraq be-dagh
meri sari chuDiyan kisi ne kach kach kar ke toD di hain
pata nahin kaun hai jo bar bar kah raha hai
ro lo thoDa sa ro lo dil ka bojh halka ho jaega
mujhe rone ke bajae hansi aae chali ja rahi hai
ji chah raha hai KHub zor zor se qahqahe lagaun
kya rone se sare bojh halke ho jate hain
mere samne muddaton se tumhaara janaza rakha hai
aur
main pahli raat se us ke paenti baiThi hun
na bahne wale aansuon ka bojh uThae
aaj kya anhoni hui hai
taffun se dimagh phaTe ja raha hai
are koi sunta hai
janaza uThao dafnane mein pahle hi bahut der ho gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.