daftar-e-shadi ka muntazim
vo chalātā hai daftar-e-shādī
dost aisā bhī ik hamārā hai
fees letā hai dil milāne kī
aur isī kaam par ''guzārā'' hai
koī shādī baġhair mar jaa.e
ye bhalā kab use gavārā hai
aqd-e-sānī kī jin ko ḳhvāhish ho
un kī ummīd kā sitārā hai
jin ko rishta kahīñ na miltā ho
un kā ye āḳhirī sahārā hai
sochtā huuñ ki hai vo ḳhush-qismat
yā haqīqat meñ ġham kā maarā hai
an-ginat shādiyāñ karā Dālīñ
aur ḳhud aaj tak kañvārā hai
wo chalata hai daftar-e-shadi
dost aisa bhi ek hamara hai
fees leta hai dil milane ki
aur isi kaam par guzara hai
koi shadi baghair mar jae
ye bhala kab use gawara hai
aqd-e-sani ki jin ko KHwahish ho
un ki ummid ka sitara hai
jin ko rishta kahin na milta ho
un ka ye aaKHiri sahaara hai
sochta hun ki hai wo KHush-qismat
ya haqiqat mein gham ka mara hai
an-ginat shadiyan kara Dalin
aur KHud aaj tak kanwara hai
- Book : Dish antenna (Pg. 213)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.