dajla ke KHwab
ye adā.eñ raqs ke hañgām kitnī raqs-ḳhez
vo javānān-e-qabīla hosh se bāhar chale
kākuloñ ke sumbulistāñ ārizoñ par aks-rez
jaise sāhil kā nazārā āb-e-dariyā par chale
ik ta.assur hai ki raqsāñ ho rahā hai har taraf
sham.eñ raushan haiñ charāġhāñ ho rahā hai har taraf
aag ke atrāf raushan jaise ik fānūs-e-raqs
raqs kartī laḌkiyāñ kuchh aag ke atrāf yuuñ
jaise sat.h-e-āb par mahtāb ke haale kā aks
jis ko jhūle meñ jhulā.eñ mauj-hā-e-sīmgūñ
mil ke jab jhuktī haiñ lagtī haiñ kalī muñh-band sī
aur jab tantī haiñ kis darja bhalī dil-band sī
ik taraf vo surḳh mish.al haath meñ le kar chale
kuchh hasīñ kuchh nāznīñ kuchh sarv-qad kuchh sīm-tan
jaise kuchh phūloñ ke nāzuk narm-rau lashkar chale
narm-raftārī meñ dajla ke tamavvuj kī phaban
jaise sahrāoñ ke aahū mahv-e-gul-gasht-e-chaman
ye hasīñ āhū-qadam āhū-nafas āhū-mizāj
le rahe haiñ nau-javānan-e-qabīla se ḳhirāj
jalva-pairā jalva-sāmāñ kitne dilkash māhtāb
kitne afsānoñ ke paikar kitne rañg-o-bū ke ḳhvāb
vo jabīnoñ ke araq meñ jaise sho.aloñ ke sarāb
jaise sandal meñ sharāroñ ke tabassum mahv-e-ḳhvāb
sho.ala-afshāñ kākuloñ meñ surḳh phūloñ ke charāġh
jaise tārīkī meñ mil jaa.eñ ujāle ke surāġh
ārizoñ kī chāñdnī phailī huī sī har taraf
har taraf hai ek tarkash ek aahū har qadam
kar rahe haiñ raqs daf par mahvishān-e-jalva-tāb
har taraf bikhre hue haiñ vādi-e-dajla ke ḳhvāb
kuchh kañval kuchh nastaran kuchh sumbulistāñ kuchh gulāb
ye adaen raqs ke hangam kitni raqs-KHez
wo jawanan-e-qabila hosh se bahar chale
kakulon ke sumbulistan aarizon par aks-rez
jaise sahil ka nazara aab-e-dariya par chale
ek tassur hai ki raqsan ho raha hai har taraf
shamen raushan hain charaghan ho raha hai har taraf
aag ke atraf raushan jaise ek fanus-e-raqs
raqs karti laDkiyan kuchh aag ke atraf yun
jaise sath-e-ab par mahtab ke haale ka aks
jis ko jhule mein jhulaen mauj-ha-e-simgun
mil ke jab jhukti hain lagti hain kali munh-band si
aur jab tanti hain kis darja bhali dil-band si
ek taraf wo surKH mishal hath mein le kar chale
kuchh hasin kuchh naznin kuchh sarw-qad kuchh sim-tan
jaise kuchh phulon ke nazuk narm-rau lashkar chale
narm-raftari mein dajla ke tamawwuj ki phaban
jaise sahraon ke aahu mahw-e-gul-gasht-e-chaman
ye hasin aahu-qadam aahu-nafas aahu-mizaj
le rahe hain nau-jawanan-e-qabila se KHiraj
jalwa-paira jalwa-saman kitne dilkash mahtab
kitne afsanon ke paikar kitne rang-o-bu ke KHwab
wo jabinon ke araq mein jaise shoalon ke sarab
jaise sandal mein shararon ke tabassum mahw-e-KHwab
shoala-afshan kakulon mein surKH phulon ke charagh
jaise tariki mein mil jaen ujale ke suragh
aarizon ki chandni phaili hui si har taraf
har taraf hai ek tarkash ek aahu har qadam
kar rahe hain raqs daf par mahwishan-e-jalwa-tab
har taraf bikhre hue hain wadi-e-dajla ke KHwab
kuchh kanwal kuchh nastaran kuchh sumbulistan kuchh gulab
- Book : khvaab numaa (Pg. 8)
- Author : qamar jameel
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.