dakan
jahāñ fard apnī jagah anjuman hai
jahāñ har kalī ik mahaktā chaman hai
jahāñ kī zamīñ rashk-e-charḳh-e-kuhan hai
jahāñ shoḳhiyāñ haiñ adā hai phaban hai
jahāñ sādgī meñ bhī ik bāñkpan hai
jahāñ raqs-farmā havā maujzan hai
jahāñ sheriyat hai jahāñ qadar-e-fan hai
jahāñ ilm-o-fan ke liye ik lagan hai
jahāñ hairat-o-zor kā bhī vatan hai
jahāñ anjuman vāqa.ī anjuman hai
jo sach pūchhte ho 'sahar' to vo ḳhitta
dakan hai dakan hai dakan hai dakan hai
jahan fard apni jagah anjuman hai
jahan har kali ek mahakta chaman hai
jahan ki zamin rashk-e-charKH-e-kuhan hai
jahan shoKHiyan hain ada hai phaban hai
jahan sadgi mein bhi ek bankpan hai
jahan raqs-farma hawa maujzan hai
jahan sheriyat hai jahan qadar-e-fan hai
jahan ilm-o-fan ke liye ek lagan hai
jahan hairat-o-zor ka bhi watan hai
jahan anjuman waqai anjuman hai
jo sach puchhte ho 'sahar' to wo KHitta
dakan hai dakan hai dakan hai dakan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.