dakan
ye maqūla hind meñ muddat se hai zarb-ul-masal
jo ki jā pahuñchā dakan meñ bas vahīñ kā ho rahā
pārsī hindū musalmāñ yā masīhī ho koī
hai dakkan ko har koī apnī vilāyat jāntā
sehn-e-gulshan meñ kisī kaam ko aa.e koī
jā.egā bū-e-rubā se mo.attar ho kar
Hyderabad bhī ik baaġh hai māshā-allāh
hai jahāñ faiz kā darvāza kushāda sab par
izzat-e-qaumī tarastī thī sadā āñkheñ meñ
aa ke balda ke sivā na meñ lagā us kā pata
ye maqula hind mein muddat se hai zarb-ul-masal
jo ki ja pahuncha dakan mein bas wahin ka ho raha
parsi hindu musalman ya masihi ho koi
hai dakkan ko har koi apni wilayat jaanta
sehn-e-gulshan mein kisi kaam ko aae koi
jaega bu-e-ruba se moattar ho kar
Hyderabad bhi ek bagh hai masha-allah
hai jahan faiz ka darwaza kushada sab par
izzat-e-qaumi tarasti thi sada aankhen mein
aa ke balda ke siwa na mein laga us ka pata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.