dal badli
chalte chalte daf.atan paTrī badalne kā chalan
thā siyāsat ke qalābāzoñ kā yak mash.hūr fan
fā.eda hotā thā vaqtī taur par is khel meñ
go sakā hazrāt kahte the use bāzār-pan
ahl-e-sheristān ne bhī ab use apnā liyā
kār-āmad dekh kar ye nusḳha-e-āhan-shikan
ho rahā hai is qadar maqbūl ye nusḳha ki ab
dil badalte rahte haiñ din raat arbāb-e-suḳhan
nit nayā bahrūp lāzim hai pa.e iz.hār-e-zāt
jab nazar ke sāmne ho fan barā.e makr-o-fan
vo zamāna jab ki bazm-e-sher thī ik razm-gāh
chhoḌ dī thī har na.e shā.ir ne raftār-e-kuhan
gholte rahte the vo hazrāt jām-e-sher meñ
naġhma-e-bulbul ke badle shorish-e-dār-o-rasan
hoTaloñ meñ baiTh kar hotā thā zikr-e-inqalāb
apne sar se bāñdhe phirte the taḳhayyul meñ kafan
in meñ kuchh leader sifat the aur kuchh voluntēr
jhunD meñ surḳhāb ke hoñ jis tarah zāġh-o-zaġhan
na.ara baazī meñ agar hote the leader paav ser
in ke har voluntēr kā vazn hotā DeḌh man
rafta rafta shor-e-ġhauġhā.ī suḳhan kā jab thamā
lag gayā jab māh-e-naḳhshab meñ havādis kā gahan
aa ga.e kuchh aur kartab-bāz bazm-e-sher meñ
ik zarā sā jānte the jo nazar-bandī kā fan
sūñgh kar mausam kī bū aur ruḳh havā kā dekh kar
kechulī badlī har ik voluntēr ne daf.atan
subah dam dekhā to teddy suiT meñ malbūs haiñ
pheñk kar chupke se apnā inqilābī pairahan
sar ke bāloñ kī safedī ho ga.ī ġharq-e-ḳhizāb
tah-ba-tah ġhāza lagā kar duur kī ruḳh kī shikan
shā.irī kī umr thī go biis yā pachchīs saal
lekin apne fan meñ vo bil-qasd laa.e bāl-pan
kar diyā bahr-e-sadārat pesh apne aap ko
jab banā.ī chand nau-mashqoñ ne koī anjuman
is liye ghuspaiTh karte ye sab voluntēr
ban ga.e ab ḳhaam zehnoñ ke imām-e-fikr-o-fan
in kā maqsad hai agar kuchh to husūl-e-manfa.at
inqilābī shā.irī ho yā muammatī suḳhan
chalte chalte dafatan paTri badalne ka chalan
tha siyasat ke qalabazon ka yak mashhur fan
faeda hota tha waqti taur par is khel mein
go saka hazraat kahte the use bazar-pan
ahl-e-sheristan ne bhi ab use apna liya
kar-amad dekh kar ye nusKHa-e-ahan-shikan
ho raha hai is qadar maqbul ye nusKHa ki ab
dil badalte rahte hain din raat arbab-e-suKHan
nit naya bahrup lazim hai pae izhaar-e-zat
jab nazar ke samne ho fan barae makr-o-fan
wo zamana jab ki bazm-e-sher thi ek razm-gah
chhoD di thi har nae shair ne raftar-e-kuhan
gholte rahte the wo hazraat jam-e-sher mein
naghma-e-bulbul ke badle shorish-e-dar-o-rasan
hoTalon mein baiTh kar hota tha zikr-e-inqalab
apne sar se bandhe phirte the taKHayyul mein kafan
in mein kuchh leader sifat the aur kuchh wolunteer
jhunD mein surKHab ke hon jis tarah zagh-o-zaghan
nara bazi mein agar hote the leader paw ser
in ke har wolunteer ka wazn hota DeDh man
rafta rafta shor-e-ghaughai suKHan ka jab thama
lag gaya jab mah-e-naKHshab mein hawadis ka gahan
aa gae kuchh aur kartab-baz bazm-e-sher mein
ek zara sa jaante the jo nazar-bandi ka fan
sungh kar mausam ki bu aur ruKH hawa ka dekh kar
kechuli badli har ek wolunteer ne dafatan
subah dam dekha to teddy suiT mein malbus hain
phenk kar chupke se apna inqilabi pairahan
sar ke baalon ki safedi ho gai gharq-e-KHizab
tah-ba-tah ghaza laga kar dur ki ruKH ki shikan
shairi ki umr thi go bis ya pachchis sal
lekin apne fan mein wo bil-qasd lae baal-pan
kar diya bahr-e-sadarat pesh apne aap ko
jab banai chand nau-mashqon ne koi anjuman
is liye ghuspaiTh karte ye sab wolunteer
ban gae ab KHam zehnon ke imam-e-fikr-o-fan
in ka maqsad hai agar kuchh to husul-e-manfat
inqilabi shairi ho ya muammati suKHan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.