dam aa nahin raha
dam aa nahīñ rahā
nafas nafas ghuTan qadam qadam thakan
jale hue par āsmāñ se gir rahe haiñ
kabāb ho ga.e haiñ kyā
parkāsh ke svapn dekhte parind
ThiThur rahe haiñ zamharīr murda ghar meñ do darāz jism
laboñ pe phīphaḌī bañdhī huī
utar rahā hai aañkh meñ safed motiyā
diloñ ke sag galī meñ bhauñkte haiñ
DhūñDhte haiñ dāman-āshnā musāfiroñ ke
sūñghte haiñ priit kī mahak
thakan se baiThte haiñ haar kar
kuredtī hai ḳhvāb kī chuḌail
qabr se nikāltī hai daaġh daaġh dhaḌ
kharochtī hai raat bhar kabūd jild
ye ḳhalfishār
jism ke ujaaḌ marġh-zār meñ kisī parind kī pukār
daraḳht Dheh chuke
sabhī pashū pakherū jā chuke
ye āḳhirī parinda kaun hai
humā yā maiñ
ye kaun haDDiyāñ chabā rahā hai
dil kā maas khā rahā hai
siina regzār
ġhamoñ ke añdhkār meñ aTe nagar
ye dil haiñ yā haiñ ret meñ dhañse hue khañDar
dam aa nahin raha
nafas nafas ghuTan qadam qadam thakan
jale hue par aasman se gir rahe hain
kabab ho gae hain kya
parkash ke swapn dekhte parind
ThiThur rahe hain zamharir murda ghar mein do daraaz jism
labon pe phiphaDi bandhi hui
utar raha hai aankh mein safed motiya
dilon ke sag gali mein bhaunkte hain
DhunDhte hain daman-ashna musafiron ke
sunghte hain prit ki mahak
thakan se baiThte hain haar kar
kuredti hai KHwab ki chuDail
qabr se nikalti hai dagh dagh dhaD
kharochti hai raat bhar kabud jild
ye KHalfishaar
jism ke ujaD margh-zar mein kisi parind ki pukar
daraKHt Dheh chuke
sabhi pashu pakheru ja chuke
ye aaKHiri parinda kaun hai
huma ya main
ye kaun haDDiyan chaba raha hai
dil ka mas kha raha hai
sina regzar
ghamon ke andhkar mein aTe nagar
ye dil hain ya hain ret mein dhanse hue khanDar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.