Dar
baat hamārī ġhaur se sunñā
sun kar jag se kah denā
is dhartī se ambar tak
jharne jhiil se sāgar tak
maidānoñ ke dāman se
ūñche parbat ke sar tak
bhuut hai kyā jinnāt hai kyā
zālim kaalī raat hai kyā
ham haiñ aadam kī aulād
shaitāñ kī auqāt hai kyā
bastī bastī jangal hai
aur jangal meñ jangal hai
ḳhatroñ se ghabrānā kyā
jīvan ḳhud ik dangal hai
ghar se bāhar Dar ko karo
sukh se jiyo aur sukh se maro
bol hamāre haiñ achchhe nā
nazm kā matlab samjhe nā
baat hamari ghaur se sunna
sun kar jag se kah dena
is dharti se ambar tak
jharne jhil se sagar tak
maidanon ke daman se
unche parbat ke sar tak
bhut hai kya jinnat hai kya
zalim kali raat hai kya
hum hain aadam ki aulad
shaitan ki auqat hai kya
basti basti jangal hai
aur jangal mein jangal hai
KHatron se ghabrana kya
jiwan KHud ek dangal hai
ghar se bahar Dar ko karo
sukh se jiyo aur sukh se maro
bol hamare hain achchhe na
nazm ka matlab samjhe na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.