dar-e-pa-e-ajal
ghar meñ kuchh bhī nahīñ tārīk sī ḳhushbū ke sivā
kuchh chamaktā nahīñ ab ḳhauf ke jugnū ke sivā
dam-e-kohsār meñ DhūñDā to na niklā kuchh bhī
barf par chhiḌkī huī ḳhuun kī ḳhushbū ke sivā
us kā chhupnā thā ki āñkhoñ meñ mirī kuchh na rahā
surma.ī sabz munavvar ram-e-āhū ke sivā
ghar mein kuchh bhi nahin tarik si KHushbu ke siwa
kuchh chamakta nahin ab KHauf ke jugnu ke siwa
dam-e-kohsar mein DhunDa to na nikla kuchh bhi
barf par chhiDki hui KHun ki KHushbu ke siwa
us ka chhupna tha ki aankhon mein meri kuchh na raha
surmai sabz munawwar ram-e-ahu ke siwa
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 581)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.