dar-guzar
kaun vo log the ab yaad nahīñ aatā hai
pheñk aa.e the mujhe yūsuf-e-kan.āñ kī tarah
khīñch laa.e the mujhe shahr ke bāzāroñ meñ
sab ko dikhlāte the ā.īna-e-hairāñ kī tarah
log kahte haiñ ki koī bhī ḳharīdār na thā
kaun vo log the ab yaad nahīñ aatā hai
chhoḌ aa.e the sulagte hue maidāñ meñ mujhe
eḌiyāñ ragḌīñ magar chashma-e-zamzam na milā
kaise tanhā kiyā kis hāl-e-pareshāñ meñ mujhe
kaun vo log the ab yaad nahīñ aatā hai
bāġh-e-āsā.ish hastī bhī dikhāyā mujh ko
koī shaddād-numā thā koī namrūd-sifat
be-gunāhī kī sazā thī ki vo sach kā in.aam
rasan o daar ke mimbar pe biThāyā mujh ko
kaun vo log the ab yaad nahīñ aatā hai
koī insān koī shaitāñ koī chehra koī naam
hāfiza shīsha kī mānind dark jaatā hai
ai ḳhudā tujh se to poshīda nahīñ hai koī raaz
dost hoñge ki vo dushman mirā pahuñchā de salām
shukr kartā huuñ ki duniyā ke ḳhazāne ne mujhe
koī motī na sahī aañkh to giryāñ dī hai
kyā diyā kyā na diyā tū ne ḳhudā-e-fayyāz
kyā ye kam hai ki mujhe daulat-e-nisyāñ dī hai
kaun wo log the ab yaad nahin aata hai
phenk aae the mujhe yusuf-e-kanan ki tarah
khinch lae the mujhe shahr ke bazaron mein
sab ko dikhlate the aaina-e-hairan ki tarah
log kahte hain ki koi bhi KHaridar na tha
kaun wo log the ab yaad nahin aata hai
chhoD aae the sulagte hue maidan mein mujhe
eDiyan ragDin magar chashma-e-zamzam na mila
kaise tanha kiya kis haal-e-pareshan mein mujhe
kaun wo log the ab yaad nahin aata hai
bagh-e-asaish hasti bhi dikhaya mujh ko
koi shaddad-numa tha koi namrud-sifat
be-gunahi ki saza thi ki wo sach ka inam
rasan o dar ke mimbar pe biThaya mujh ko
kaun wo log the ab yaad nahin aata hai
koi insan koi shaitan koi chehra koi nam
hafiza shisha ki manind dark jata hai
ai KHuda tujh se to poshida nahin hai koi raaz
dost honge ki wo dushman mera pahuncha de salam
shukr karta hun ki duniya ke KHazane ne mujhe
koi moti na sahi aankh to giryan di hai
kya diya kya na diya tu ne KHuda-e-fayyaz
kya ye kam hai ki mujhe daulat-e-nisyan di hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.