Dar
showrōmoñ se
Darne vaale
achchhe logo
fōTpāthoñ par bikne vaalī
saarī chīzeñ
mahñgī bhī haiñ
ghaTiyā bhī haiñ
ye jo dil meñ Dar hai
is ko patthar kar lo
is patthar se showrōmoñ ke shīshe toḌo
rang-birañgī saarī ḳhushiyāñ ghar le aao
in ḳhushiyoñ ke rang baḌe pakke hote haiñ
ye bhīgī āñkhoñ se bhī hañste rahte haiñ
showroomon se
Darne wale
achchhe logo
fooTpathon par bikne wali
sari chizen
mahngi bhi hain
ghaTiya bhi hain
ye jo dil mein Dar hai
is ko patthar kar lo
is patthar se showroomon ke shishe toDo
rang-birangi sari KHushiyan ghar le aao
in KHushiyon ke rang baDe pakke hote hain
ye bhigi aankhon se bhi hanste rahte hain
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 122)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.