Dar
umr kī dhuup Dhalne vaalī hai
zindagī shaam karne vaalī hai
koī āvāz de rahā hai mujhe
saath chalne ko kah rahā hai mujhe
jaanā sab ko hai jaanā hī hogā
Dar nahīñ ye ki jaane kyā hogā
kis tarah ruuh badan ko chhoḌegī
is kā maskan bhalā kahāñ hogā
jaane kaisā nayā makāñ hogā
gor meñ jaane kaisī guzregī
reza reza badan jo bikhregā
Dar nahīñ ye ki jaane kyā hogā
jaisī karnī hai vaisā kāTūñgī
nekiyoñ par hai e'tibār mujhe
apne a.amāl par bharosa hai
Dar to bilkul nahīñ hai kyā hogā
Dar to bas sirf itnā hai
duur pardes haiñ mire pyāre
vaqt-e-ruḳhsat vo aa sakeñge kyā
umr ki dhup Dhalne wali hai
zindagi sham karne wali hai
koi aawaz de raha hai mujhe
sath chalne ko kah raha hai mujhe
jaana sab ko hai jaana hi hoga
Dar nahin ye ki jaane kya hoga
kis tarah ruh badan ko chhoDegi
is ka maskan bhala kahan hoga
jaane kaisa naya makan hoga
gor mein jaane kaisi guzregi
reza reza badan jo bikhrega
Dar nahin ye ki jaane kya hoga
jaisi karni hai waisa kaTungi
nekiyon par hai e'tibar mujhe
apne aamal par bharosa hai
Dar to bilkul nahin hai kya hoga
Dar to bas sirf itna hai
dur pardes hain mere pyare
waqt-e-ruKHsat wo aa sakenge kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.