daraD
rishtoñ kī adāvat meñ
diloñ meñ jo darāḌ paḌtī hai
us se ristā ḳhuun kabhī nahīñ ruktā
yahāñ tak ki
ma.asūmiyat surḳh chehra liye paidā hotī hai
ham sab kī manzil ek safed shahr
jo raushan chehre vāloñ kā maskan
magar ham surḳh haath aur surḳh chehre liye
kaise is shahr meñ dāḳhil hoñge?
rishton ki adawat mein
dilon mein jo daraD paDti hai
us se rista KHun kabhi nahin rukta
yahan tak ki
masumiyat surKH chehra liye paida hoti hai
hum sab ki manzil ek safed shahr
jo raushan chehre walon ka maskan
magar hum surKH hath aur surKH chehre liye
kaise is shahr mein daKHil honge?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.