daraKHton ka silsila
yahāñ se daraḳhtoñ kā har silsila ḳhatm hotā hai
ab sāmne zard chatiyal zamīneñ haiñ
ḳhvāboñ ke marqad
irādoñ kī lāsheñ
rafīqoñ ke pinjar
bikharte hue roz-o-shab
āsmānoñ kī yūrish
yahāñ aaj ham bhī
pareshān zehnoñ se girte hue biij bo deñ
ki roz-e-qayāmat meñ tāḳhīr na rah jaa.e koī
ye chatiyal zamīneñ sunā hai ki banjar nahīñ haiñ
ye fasl-e-gul kā
shagufta-o-sarsabz imkāñ
abhī mere tere lahū meñ
bigaḌtī sañvartī
rag-o-pai meñ jaltī
kahānī ke anjām kā muntazir hai
yahan se daraKHton ka har silsila KHatm hota hai
ab samne zard chatiyal zaminen hain
KHwabon ke marqad
iradon ki lashen
rafiqon ke pinjar
bikharte hue roz-o-shab
aasmanon ki yurish
yahan aaj hum bhi
pareshan zehnon se girte hue bij bo den
ki roz-e-qayamat mein taKHir na rah jae koi
ye chatiyal zaminen suna hai ki banjar nahin hain
ye fasl-e-gul ka
shagufta-o-sarsabz imkan
abhi mere tere lahu mein
bigaDti sanwarti
rag-o-pai mein jalti
kahani ke anjam ka muntazir hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.