daraKHton ke liye
ai daraḳhto! tumheñ jab kaaT diyā jā.egā
aur tum suukh ke lakḌī meñ badal jāoge
aise aalam meñ bahut paishkasheñ hoñgī tumheñ
tum magar apnī rivāyat se na phirnā hargiz
shaah kī kursī meñ Dhalne se kahīñ behtar hai
kisī fōt-pāth ke hotel kā vo TuuTā huā taḳhta banñā
maile kapḌoñ meñ sahī log mohabbat se jahāñ baiThte haiñ
kisī bandūq kā dasta bhī nahīñ honā tumheñ
chāqū chhuriyoñ ko bhī ḳhidmāt na apnī denā
aise darvāze kī chaukhaT bhī na banñā hargiz
jo mohabbat-bharī dastak pe kabhī khul na sake
ai daraḳhto! tumheñ jab kaaT diyā jā.egā
aur tum suukh ke lakḌī meñ badal jāoge
koī baisākhī banā.e to sahārā denā
aur kashtī ke liye itnī mohabbat se tum aage baḌhnā
ki samundar kī farāḳhī bhī bahut kam paḌ jaa.e
apne patvār mire bāzuoñ jaise rakhnā
jo kisī aur kī tāqat ke sivā zinda haiñ
merī duniyā ki abhī vāqif-e-ulfat hī nahīñ
mere baazū bhī mohabbat ke sivā zinda haiñ
ai daraKHto! tumhein jab kaT diya jaega
aur tum sukh ke lakDi mein badal jaoge
aise aalam mein bahut paishkashen hongi tumhein
tum magar apni riwayat se na phirna hargiz
shah ki kursi mein Dhalne se kahin behtar hai
kisi foot-path ke hotel ka wo TuTa hua taKHta banna
maile kapDon mein sahi log mohabbat se jahan baiThte hain
kisi banduq ka dasta bhi nahin hona tumhein
chaqu chhuriyon ko bhi KHidmat na apni dena
aise darwaze ki chaukhaT bhi na banna hargiz
jo mohabbat-bhari dastak pe kabhi khul na sake
ai daraKHto! tumhein jab kaT diya jaega
aur tum sukh ke lakDi mein badal jaoge
koi baisakhi banae to sahaara dena
aur kashti ke liye itni mohabbat se tum aage baDhna
ki samundar ki faraKHi bhi bahut kam paD jae
apne patwar mere bazuon jaise rakhna
jo kisi aur ki taqat ke siwa zinda hain
meri duniya ki abhi waqif-e-ulfat hi nahin
mere bazu bhi mohabbat ke siwa zinda hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.