dard-e-mushtarak
mizha-e-ḳhār pe kis tarah bhalā paa.e qarār
āriz-e-gul pe na jab qatra-e-shabnam Thahre
hādsa hai ki dar aa.ī ye masarrat kī kiran
varna is dil pe the tārīkī-e-ġham ke pahre
dard-e-mahrūmī-e-jāved hamārī qismat
rāhat-e-vasl-o-mulāqāt ke dar band rahe
sāl-hā-sāl rivāyāt ke zindānoñ meñ
kitne biphre hue jazbāt nazar-band rahe
sim-sim-e-sīm se khul jaate haiñ uqdoñ ke pahāḌ
jagmagā uThte haiñ phūloñ ke diye sahrā meñ
ġhāza-e-zar se hai ruḳhsār-e-tamaddun kā nikhār
dil to ik jins-e-faromāya hai is duniyā meñ
chaḌhte sūraj ke parastār haiñ duniyā vaale
Dūbte chāñd ko bin dekhe guzar jaate haiñ
kaun juuḌe meñ sajātā hai bhalā dhuul ke phuul
shāḳh ke ḳhaar bhī āñkhoñ meñ jagah paate haiñ
tū mirī hai ki yahāñ koī nahīñ thā merā
maiñ tirā huuñ ki tujhe koī bhī apnā na sakā
kitnī pyārī hai suhānī hai ye duniyā jis meñ
tū bhī Thukrā.ī ga.ī mujh ko bhī Thukrāyā gayā
mizha-e-KHar pe kis tarah bhala pae qarar
aariz-e-gul pe na jab qatra-e-shabnam Thahre
hadsa hai ki dar aai ye masarrat ki kiran
warna is dil pe the tariki-e-gham ke pahre
dard-e-mahrumi-e-jawed hamari qismat
rahat-e-wasl-o-mulaqat ke dar band rahe
sal-ha-sal riwayat ke zindanon mein
kitne biphre hue jazbaat nazar-band rahe
sim-sim-e-sim se khul jate hain uqdon ke pahaD
jagmaga uThte hain phulon ke diye sahra mein
ghaza-e-zar se hai ruKHsar-e-tamaddun ka nikhaar
dil to ek jins-e-faromaya hai is duniya mein
chaDhte suraj ke parastar hain duniya wale
Dubte chand ko bin dekhe guzar jate hain
kaun juDe mein sajata hai bhala dhul ke phul
shaKH ke KHar bhi aankhon mein jagah pate hain
tu meri hai ki yahan koi nahin tha mera
main tera hun ki tujhe koi bhi apna na saka
kitni pyari hai suhani hai ye duniya jis mein
tu bhi Thukrai gai mujh ko bhi Thukraya gaya
- Book : Rag-e-jan (Pg. 115)
- Author : Ahmad Rahi
- Publication : Al-Hamd Publication (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.