dard-e-zeh
vo thā ik lamha-e-taḳhlīq
jis ne aag raushan kī
taḌaptī thī safūra dard-e-zeh se
aur muusā ko
sar-e-vādī-e-sīnā nuur kā lapkā nazar aayā
ḳhudā-e-azz-o-jal se
ham-kalāmī kī sa.ādat ho ga.ī hāsil
milā ohda payambar kā
magar vo kokh meñ jis ne
mahīnoñ thaam kar rakkhā
mohabbat kā munazzah lamha
jis ne ġhuncha-e-nauras ko chaTkayā
sar-e-shāḳh-e-rifāqat
jis ne lorī ke bune haiñ bol
valī hai vo
nabī hai
aur na paiġhambar
wo tha ek lamha-e-taKHliq
jis ne aag raushan ki
taDapti thi safura dard-e-zeh se
aur musa ko
sar-e-wadi-e-sina nur ka lapka nazar aaya
KHuda-e-azz-o-jal se
ham-kalami ki saadat ho gai hasil
mila ohda payambar ka
magar wo kokh mein jis ne
mahinon tham kar rakkha
mohabbat ka munazzah lamha
jis ne ghuncha-e-nauras ko chaTkaya
sar-e-shaKH-e-rifaqat
jis ne lori ke bune hain bol
wali hai wo
nabi hai
aur na paighambar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.