dard
sarsarāhaT hai
na aahaT hai
na halchal
na chubhan
dard chup-chāp
kisī dhīmī nadī kī sūrat
saañs letī huī
gāñThoñ meñ
utar aayā hai
kitne barsoñ kī
riyāzat se
hunar-mandī se
aaise bikhre hue
reshoñ ko sameTā hai magar
aur har baar
har ik baar
bahut jatanoñ se
jism ko jaan se
joḌā hai magar
be-sabab saañs kī kaTtī Dorī
kab se thāme hue
baiThe haiñ magar
aaj nahīñ
yā kahīñ dard thame
aur sakūñ mil jaa.e
yā koī gāñTh khule
aur qarār aa jaa.e
sarsarahaT hai
na aahaT hai
na halchal
na chubhan
dard chup-chap
kisi dhimi nadi ki surat
sans leti hui
ganThon mein
utar aaya hai
kitne barson ki
riyazat se
hunar-mandi se
aaise bikhre hue
reshon ko sameTa hai magar
aur har bar
har ek bar
bahut jatanon se
jism ko jaan se
joDa hai magar
be-sabab sans ki kaTti Dori
kab se thame hue
baiThe hain magar
aaj nahin
ya kahin dard thame
aur sakun mil jae
ya koi ganTh khule
aur qarar aa jae
- Book : Khawab Ki Hatheli Per (Pg. 87)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.