dard harf chunne lage
us kī mardāngī ko
mere āñsuoñ kī hājat thī
vo merī ruuh ko
is vaqt tak dāġhtā rahā
jab tak us kī poroñ meñ
mard hone kā ehsās nahīñ itrāyā
us ke miTTī vajūd ko
maiñ ne khāre paanī se gūñdh kar
be-hisī kī bhaTTī meñ Daal diyā
vo patthar kā ho gayā
maiñ bain karne lagī
hosh aayā to
usī but ke aage
bachī-khuchī tamannā.eñ bheñT kiiñ
aur sajda-rez ho ga.ī
tapasyā amar huī to
dard harf chunñe lage
aur maiñ nazmeñ gungunāne lagī
us ki mardangi ko
mere aansuon ki hajat thi
wo meri ruh ko
is waqt tak daghta raha
jab tak us ki poron mein
mard hone ka ehsas nahin itraya
us ke miTTi wajud ko
main ne khaare pani se gundh kar
be-hisi ki bhaTTi mein Dal diya
wo patthar ka ho gaya
main bain karne lagi
hosh aaya to
usi but ke aage
bachi-khuchi tamannaen bhenT kin
aur sajda-rez ho gai
tapasya amar hui to
dard harf chunne lage
aur main nazmen gungunane lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.