dard ka nam pata mat puchho
dard kā naam pata mat pūchho
dard ik ḳhema-e-aflāk
is iqlīm pe hai saaya kunāñ
tum ise qutub shumālī kah lo
tum jidhar aañkh uThā kar dekho
barf hī barf hai
aur raat hī raat
ham vo maujūd ki jin meñ shāyad
zindagī banñe ke āsār abhī baaqī the
hashrāt aise ki jin ko shāyad
raushnī aur harārat kī zarūrat thī abhī
is andhere meñ kaho barf pe reñgeñ kaise
koī batlāo ki is raat ke āzār se nikleñ kaise
raat aisī ki jo Dhaltī hī nahīñ
barf aisī ki pighaltī hī nahīñ
dard ka nam pata mat puchho
dard ek KHema-e-aflak
is iqlim pe hai saya kunan
tum ise qutub shumali kah lo
tum jidhar aankh uTha kar dekho
barf hi barf hai
aur raat hi raat
hum wo maujud ki jin mein shayad
zindagi banne ke aasar abhi baqi the
hashraat aise ki jin ko shayad
raushni aur hararat ki zarurat thi abhi
is andhere mein kaho barf pe rengen kaise
koi batlao ki is raat ke aazar se niklen kaise
raat aisi ki jo Dhalti hi nahin
barf aisi ki pighalti hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.