dard ki aawaz
uḌtī desh meñ gard nahīñ hai
tumheñ zarā bhī dard nahīñ hai
desh hai apnā mānte ho nā
dukh jitne haiñ jānte ho nā
peḌ hai ek par Dāleñ bahut haiñ
Dāloñ par Tahniyāñ bahut haiñ
patte haiñ rozāna ugte
piile lekin girte rahte
tum ho maalī nazar kahāñ hai
chaman kī socho dhyān kahāñ hai
kyā tum se har fard nahīñ hai
tumheñ zarā bhī dard nahīñ hai
chunā tumheñ hai kaheñge qisse
desh dikhe jab hisse hisse
log pareshāñ aag zanī hai
aur vichāroñ meñ bhī Thanī hai
nazreñ churā kar yuuñ nā baiTho
aage aa kar chakr to pheñko
tum chup ho sab bol rahe haiñ
pañkh vo apne tol rahe haiñ
kahe na koī mard nahīñ hai
tumheñ zarā bhī dard nahīñ hai
baḌe bhaa.ī ho sabaq to sīkho
chāroñ or haiñ chhoTe dekho
laḌ laḌ kar barbād haiñ saare
kāTnā mārnā dharm banā re
vahāñ masjidoñ meñ bam phaTte
dharm hai ek vo phir bhī laḌte
chale the faḳhr se sar ūñchā thā
gaḌhe the haa.el kab dekhā thā
aaj hue kyā dekh rahe ho
chakkar gidh ke dekh rahe ho
are kyuuñ chehra zard nahīñ hai
tumheñ zarā bhī dard nahīñ hai
hosh meñ aao vaqt abhī hai
rahbar ho aur samay yahī hai
jiit chunāv fikr sahī hai
par ho kyā gar desh nahīñ hai
duur dekhnā jurm kahāñ hai
sīkhne meñ koī sharm kahāñ hai
baḌe ho gar to ban ke dikhāo
kahāñ hai shafqat le kar aao
dharm kabhī bedard nahīñ hai
tumheñ zarā bhī dard nahīñ hai
aaj nahīñ to kal samjhoge
luT jāoge tab samjhoge
pyaar se baḌh kar astr nahīñ kuchh
ghaTiyā jhuuT se vastr nahīñ kuchh
boyā jo hai vahī kāTo.ge
phir un ke talve chāToge
hāthoñ meñ kashkol raheñge
gale meñ apne Dhol raheñge
phir sar ūñchā karte rahnā
ban jaanā phir desh kā gahna
jaago havā abhī sard nahīñ hai
tumheñ zarā bhī dard nahīñ hai
uDti desh mein gard nahin hai
tumhein zara bhi dard nahin hai
desh hai apna mante ho na
dukh jitne hain jaante ho na
peD hai ek par Dalen bahut hain
Dalon par Tahniyan bahut hain
patte hain rozana ugte
pile lekin girte rahte
tum ho mali nazar kahan hai
chaman ki socho dhyan kahan hai
kya tum se har fard nahin hai
tumhein zara bhi dard nahin hai
chuna tumhein hai kahenge qisse
desh dikhe jab hisse hisse
log pareshan aag zani hai
aur wichaaron mein bhi Thani hai
nazren chura kar yun na baiTho
aage aa kar chakr to phenko
tum chup ho sab bol rahe hain
pankh wo apne tol rahe hain
kahe na koi mard nahin hai
tumhein zara bhi dard nahin hai
baDe bhai ho sabaq to sikho
chaaron or hain chhoTe dekho
laD laD kar barbaad hain sare
kaTna marna dharm bana re
wahan masjidon mein bam phaTte
dharm hai ek wo phir bhi laDte
chale the faKHr se sar uncha tha
gaDhe the hael kab dekha tha
aaj hue kya dekh rahe ho
chakkar gidh ke dekh rahe ho
are kyun chehra zard nahin hai
tumhein zara bhi dard nahin hai
hosh mein aao waqt abhi hai
rahbar ho aur samay yahi hai
jit chunaw fikr sahi hai
par ho kya gar desh nahin hai
dur dekhna jurm kahan hai
sikhne mein koi sharm kahan hai
baDe ho gar to ban ke dikhao
kahan hai shafqat le kar aao
dharm kabhi bedard nahin hai
tumhein zara bhi dard nahin hai
aaj nahin to kal samjhoge
luT jaoge tab samjhoge
pyar se baDh kar astr nahin kuchh
ghaTiya jhuT se wastr nahin kuchh
boya jo hai wahi kaToge
phir un ke talwe chaToge
hathon mein kashkol rahenge
gale mein apne Dhol rahenge
phir sar uncha karte rahna
ban jaana phir desh ka gahna
jago hawa abhi sard nahin hai
tumhein zara bhi dard nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.