dard mushtarak
maiñ ab tak ye samajhtī thī
kahānī kā na dil hai
aur na goyā.ī
salīqa hī nahīñ inkār kā is ko
hamesha likhne vaale kī
razā par chhoḌ detī hai
vajūd apnā
kabhī muñh se nahīñ kahtī
ki mujh ko is taraf moḌo
jidhar maiñ chāhtī huuñ
aur yahāñ tak ki
ka.ī kirdār mar jaate haiñ
phir bhī aañkh se is kī
kabhī aañsū nahīñ girte
kahānī kitnī sābir hai
kabhī āġhāz hī miltā nahīñ is ko
kabhī anjām se mahrūm rahtī hai
kabhī aisā bhī hotā hai
ki afsāne kā ḳhāliq
apne afsāne meñ is ko
paañv bhī dharne nahīñ detā
to ye ḳhāmoshī sī
ik karb kī chādar meñ
apnā muñh chhupā.e
lauT jaatī hai
koī shikva nahīñ kartī
magar kal shab
maiñ jab tanhā.ī meñ baiThī
kahānī likh rahī thī to
mujhe aisā lagā jaise
varaq par ek aañsū hai
jo maiñ ne ġhaur se dekhā
jahāñ aurat likhā maiñ ne
vahīñ vo ashk Tapkā thā
main ab tak ye samajhti thi
kahani ka na dil hai
aur na goyai
saliqa hi nahin inkar ka is ko
hamesha likhne wale ki
raza par chhoD deti hai
wajud apna
kabhi munh se nahin kahti
ki mujh ko is taraf moDo
jidhar main chahti hun
aur yahan tak ki
kai kirdar mar jate hain
phir bhi aankh se is ki
kabhi aansu nahin girte
kahani kitni sabir hai
kabhi aaghaz hi milta nahin is ko
kabhi anjam se mahrum rahti hai
kabhi aisa bhi hota hai
ki afsane ka KHaliq
apne afsane mein is ko
panw bhi dharne nahin deta
to ye KHamoshi si
ek karb ki chadar mein
apna munh chhupae
lauT jati hai
koi shikwa nahin karti
magar kal shab
main jab tanhai mein baiThi
kahani likh rahi thi to
mujhe aisa laga jaise
waraq par ek aansu hai
jo main ne ghaur se dekha
jahan aurat likha main ne
wahin wo ashk Tapka tha
- Book : Tahauur-e-Ishq (Pg. 88)
- Author : Humaira rahat
- Publication : Sayed Ameen Ashraf (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.