daricha
Interesting Fact
December 1954, Montgomery Prison
gaḌī haiñ kitnī salībeñ mire darīche meñ
har ek apne masīhā ke ḳhuuñ kā rañg liye
har ek vasl-e-ḳhudā-vand kī umañg liye
kisī pe karte haiñ abr-e-bahār ko qurbāñ
kisī pe qatl mah-e-tābnāk karte haiñ
kisī pe hotī hai sarmast shāḳh-sār-e-do-nīm
kisī pe bād-e-sabā ko halāk karte haiñ
har aa.e din ye ḳhudāvandagān-e-mehr-o-jamāl
lahū meñ ġharq mire ġham-kade meñ aate haiñ
aur aa.e din mirī nazroñ ke sāmne un ke
shahīd jism salāmat uThā.e jaate haiñ
gaDi hain kitni saliben mere dariche mein
har ek apne masiha ke KHun ka rang liye
har ek wasl-e-KHuda-wand ki umang liye
kisi pe karte hain abr-e-bahaar ko qurban
kisi pe qatl mah-e-tabnak karte hain
kisi pe hoti hai sarmast shaKH-sar-e-do-nim
kisi pe baad-e-saba ko halak karte hain
har aae din ye KHudawandagan-e-mehr-o-jamal
lahu mein gharq mere gham-kade mein aate hain
aur aae din meri nazron ke samne un ke
shahid jism salamat uThae jate hain
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 272)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.