dariche ke qarib
jaag ai sham-e-shabistān-e-visāl
mahfil-e-ḳhvāb ke is farsh-e-tarab-nāk se jaag!
lazzat-e-shab se tirā jism abhī chuur sahī
aa mirī jaan mere paas darīche ke qarīb
dekh kis pyaar se anvār-e-sahar chūmte haiñ
masjid-e-shahar ke mīnāroñ ko
jin kī rif.at se mujhe
apnī barsoñ kī tamannā kā ḳhayāl aatā hai
sīm-gūñ hāthoñ se ai jaan zarā
khol mai-rañg junūñ-ḳhez āñkheñ
usī mīnār ko dekh
sub.h ke nuur se shādāb sahī
usī mīnār ke saa.e tale kuchh yaad bhī hai
apne bekār ḳhudā kī mānind
ūñghtā hai kisī tārīk nihāñ-ḳhāne meñ
ek aflās kā maarā huā mullā-e-hazīñ
ek ifrīt udaas
tiin sau saal kī zillat kā nishāñ
aisī zillat ke nahīñ jis kā mudāvā koī
dekh bāzār meñ logoñ kā hujūm
be-panāh sail ke mānind ravāñ
jaise jinnāt bayābānoñ meñ
mish.aleñ le ke sar-e-shām nikal aate haiñ
un meñ har shaḳhs ke siine ke kisī goshe meñ
ek dulhan sī banī baiThī hai
TimTimātī huī nannhī sī ḳhudī kī qindīl
lekin itnī bhī tavānā.ī nahīñ
baḌh ke un meñ se koī shola-e-javvāla bane!
in meñ muflis bhī haiñ bīmār bhī haiñ
zer-e-aflāk magar zulm sahe jaate haiñ
ek būḌhā sā thakā-māñda sā rahvār huuñ maiñ
bhuuk kā shāh-savār
saḳht-gīr aur tanomand bhī hai
maiñ bhī is shahr ke logoñ kī tarah
har shab-e-aish guzar jaane par
ba-har-e-jam-e-ḳhas-o-ḳhāshāk nikal jaatā huuñ
charḳh gardāñ hai jahāñ
shaam ko phir usī kāshāne meñ lauT aatā huuñ
bebasī merī zarā dekh ke maiñ
masjid-e-shahr ke mīnāroñ ko
is darīche meñ se phir jhāñktā huuñ
jab unheñ ālam-e-ruḳhsat meñ shafaq chūmtī hai
Near the Window
Lamp of Love's chamber, awake!
Wake from this joyful floor of soft dreams
Your body still tired from night's pleasure
Come by me, lover, near the window
And see with what passion dawn's rays
Kiss the minarets of our city's mosque
Whose height brings to mind my Age-long desire
With your silver-white hands, my lovers
Open those wine-dark, bewildering eyes
See this minaret
Watered by early light
Beneath its shadow, I remember
A mournful, penniless priesto
Drowsing in a dark, hidden corner
Like a useless god
A devil, distressed!
Here is the stain of three hundred years
An indignity without cure.
See the crowd in the market place
Moving, an endless flow
As jinns in the wastelands
Emerge at early evening, bearing torches
A bride-like figure sits
In the corner of each man's heart
The tiny lantern of Self flickers
Without strength to burst into
Spinning flame
Among these are the poor, the sick
Below the heavens tyranny marches on.
I an old, weary, ambling horse
Ridden by Hunger, hard and robust
I too, like others in the city
Come out, after each night of love, to
All this rubbish
The sky is turning where
At night I return to this same house
Knowing my helplessness, I peer again l
Through this window
At the minarets of our city's mosque
When they kiss the red sky a sad farewell.
jag ai sham-e-shabistan-e-visal
mahfil-e-KHwab ke is farsh-e-tarab-nak se jag!
lazzat-e-shab se tera jism abhi chur sahi
aa meri jaan mere pas dariche ke qarib
dekh kis pyar se anwar-e-sahar chumte hain
masjid-e-shahar ke minaron ko
jin ki rifat se mujhe
apni barson ki tamanna ka KHayal aata hai
sim-gun hathon se ai jaan zara
khol mai-rang junun-KHez aankhen
usi minar ko dekh
subh ke nur se shadab sahi
usi minar ke sae tale kuchh yaad bhi hai
apne bekar KHuda ki manind
unghta hai kisi tarik nihan-KHane mein
ek aflas ka mara hua mulla-e-hazin
ek ifrit udas
tin sau sal ki zillat ka nishan
aisi zillat ke nahin jis ka mudawa koi
dekh bazar mein logon ka hujum
be-panah sail ke manind rawan
jaise jinnat bayabanon mein
mishalen le ke sar-e-sham nikal aate hain
un mein har shaKHs ke sine ke kisi goshe mein
ek dulhan si bani baiThi hai
TimTimati hui nannhi si KHudi ki qindil
lekin itni bhi tawanai nahin
baDh ke un mein se koi shola-e-jawwala bane!
in mein muflis bhi hain bimar bhi hain
zer-e-aflak magar zulm sahe jate hain
ek buDha sa thaka-manda sa rahwar hun main
bhuk ka shah-sawar
saKHt-gir aur tanomand bhi hai
main bhi is shahr ke logon ki tarah
har shab-e-aish guzar jaane par
ba-har-e-jam-e-KHas-o-KHashak nikal jata hun
charKH gardan hai jahan
sham ko phir usi kashane mein lauT aata hun
bebasi meri zara dekh ke main
masjid-e-shahr ke minaron ko
is dariche mein se phir jhankta hun
jab unhen aalam-e-ruKHsat mein shafaq chumti hai
Near the Window
Lamp of Love's chamber, awake!
Wake from this joyful floor of soft dreams
Your body still tired from night's pleasure
Come by me, lover, near the window
And see with what passion dawn's rays
Kiss the minarets of our city's mosque
Whose height brings to mind my Age-long desire
With your silver-white hands, my lovers
Open those wine-dark, bewildering eyes
See this minaret
Watered by early light
Beneath its shadow, I remember
A mournful, penniless priesto
Drowsing in a dark, hidden corner
Like a useless god
A devil, distressed!
Here is the stain of three hundred years
An indignity without cure.
See the crowd in the market place
Moving, an endless flow
As jinns in the wastelands
Emerge at early evening, bearing torches
A bride-like figure sits
In the corner of each man's heart
The tiny lantern of Self flickers
Without strength to burst into
Spinning flame
Among these are the poor, the sick
Below the heavens tyranny marches on.
I an old, weary, ambling horse
Ridden by Hunger, hard and robust
I too, like others in the city
Come out, after each night of love, to
All this rubbish
The sky is turning where
At night I return to this same house
Knowing my helplessness, I peer again l
Through this window
At the minarets of our city's mosque
When they kiss the red sky a sad farewell.
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.