dariya
aao mere paas aao nazdīk
yahāñ se dekheñ
is khiḌkī se bāhar
nīche ik dariyā bahtā hai
dhundlī dhundlī hiltī tasvīroñ kā
ḳhāmoshī se bojhal
zaḳhmī sāyoñ meñ
tiir chhupā.e thartharāte jalte
kināroñ ke pahlū meñ
be-kal dukhī
use bhī niiñd nahīñ aatī
aao mere pas aao nazdik
yahan se dekhen
is khiDki se bahar
niche ek dariya bahta hai
dhundli dhundli hilti taswiron ka
KHamoshi se bojhal
zaKHmi sayon mein
tir chhupae thartharaate jalte
kinaron ke pahlu mein
be-kal dukhi
use bhi nind nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.